Nojoto: Largest Storytelling Platform

Itne durr kb huye ham, k ruthna gaya manana gaya,

Aib itne hain kya mujhme, k wo samajhna gaya wo samjhana gaya,

Chalo tumhari aankhon ko 'mai' se aazaad karta hoon,
Ye mere paon hai jo ruke hi nahi, chalte chalte ye bhi dekho maykhana gaya.

Jaam bhari hi thi, labon se lagayi hi thi,
Uski aahat jo hui, phir haathon se mere to ye paimaana gaya..

Ahl-e-wafa ko ham to nagawaar huye, betahasha ishq bhi hui usko to Raqeeb-e-yaar se hui?? 
Matlab mere kandhon par uska wo sar rakh ke sona gaya, wo sulana gaya...

Tumse hi ho har baar mohabbat, nafrat bhi tumhi se kru,
Meri jaan Ab wo daur guzra wo zamana gaya.. #paimana