Tut gai to Bikhar jaungi Sambhal gai to Nikhar jaungi Duniya ke lambi Katar me apni Ek pahchan bnaungi "Or mujhe kam na aank Aye zmane wale-2 Mai hawa ke us jhoke Jaisi hu Jo kisi ko najar nhi aaungi Aasma me udte us Parinde ki tarah Mai khulke falak me lahraungi Or mujhe kam na aank Aye zmane wale Hindustan ki beti hu Mitti ko bhi sona kar jaungi Mai wo kanch nhi jo tut ke Bikhar jate hain Mai to wo patthar hu Jo tarasne ke bad Ek nya roop laungi Or agar koi thukra de mujhe To mai wo nhi jo mar jaungi Mai apne bnaye rasto par Khud akeli chalti jaungi Or mujhe kam na aank Aye zmane wale Mai aasma me chamte us sitare Ki tarah chamak jaungi.... Rainy singh piya Mujhe kam na aank aye zmane wale.....