Nojoto: Largest Storytelling Platform

#OpenPoetry Yun ghar ghar jaakar wo kuch paise kam

#OpenPoetry Yun ghar ghar jaakar wo kuch paise kamaati thi,
Chahe kuch b ho wo hame do waqt ki roti zaroor khilaati thi,
Khud rukha sukha khaakar hame paet bhar khilaati thi,
Jab paise na ho to wo hame khilakar khud bhuki sojaati thi,
Paise sambhaal sambhaal kar wo hame bade school bhijwaati thi,
Dusre bacchou me kamtari na mehsoos kare isiliye wo hame naye joote aur bag dilwaati thi,
Har baar eid par khud kuch na leti par hame ache ache naye kapde pehnaati thi,
Hame sulaakar wo raat bhar phir se kaam me masroof hojaati thi,
Din raat mehnat karke wo hame bada afsar banana chahti thi,
Baap ka saya hamare sir pe nahi hai wo aisa kabhi mehsoos hi nahi karwaati thi,
Ye thi hamari akeli maa jo hamare mustaqbil sawaarna chahti thi. Struggles of a single mother..
#OpenPoetry #Maa