Nojoto: Largest Storytelling Platform

Fikr-mand hun ya bad-hawas hun, pata hai mujhe, ki

Fikr-mand hun ya bad-hawas hun, pata hai mujhe,
kise Na-gawar kiska khas hun, pata hai mujhe.

Inqalab koi harf nahi jo likh kar mita diya jae,
Jalti hui mashal hun ya bujhti hui aas hun, pata hai mujhe.

Rang-o-sisayat kya baatenge mujhe, mera parcham sirf mera hai,
Dam tod chuki dhadkan hun ya chalti hui sans hun, pata hai mujhe.

Door se dekha tumne aur baat thi, ab gale lagao mujhe,
Kaza ki chhuan hun ya zindagi ka ehsaas hun, pata hai mujhe

Logon ki Har harkat ek ishara hoti hai, samjho tum,
Kiske kitne door kiske kitne pas hun, pata hai mujhe.

Koi keh raha tha apne vishal ki mujhe Khabar nahi,
Kaam ki bat hun ya mahaz bakwas hun, pata hai mujhe Pata Hai Mujhe

Pata Hai Mujhe