Humesha Teri bewafai hi likhi hai Aaj teri wafaein likhunga Humesha tujhe nafrat bhari nigahon se dekha hai Aj pyar bhari aankhon se dekhunga Log kehte hai mujhse main har dafa tujhe bura hi likhta hu Aj tujhe achha likh unke muh band kar dunga Humesha Teri bewafai hi likhi hai Aaj teri wafaein hi likhunga Yun to galat har dafa main hi rha hu Baat alag hai ki bewafa tujhe btata rha hu Gustakhiyon ko apni humesha tere sar hi dalta rha hu Humesha Teri bewafai likhi hai Aj teri wafaein hi likhunga Log padenge ye najam aur bhul jayenge ki main tujhe bewafa likhta hu Aaj teri tarif main aisa kuch likhunga Har baar tu galat aur main sahi aisa kaha mumkin hai Humesha Teri bewafai likhi hai Aj teri wafaein likhunga… #mumkin #wafaein #bewafa #dard #pyar #aankhein #galat