Nojoto: Largest Storytelling Platform

#Pehlealfaaz Wo cycle purani.... wo bacho ki rail.

#Pehlealfaaz Wo cycle purani.... wo bacho ki rail...
Wo aangan mei bachpan, wo bacho k khel,,,
Wo mil kar sabhi ka rootha manana,,, 
Wo ghar bin chhat ka jhoota banana,,,
Wo raaton ko chup kar lad kar jagad kar,,,
Chuppan chupayi mei jeet jana....
Lo phir yaad aya wo guzra zamana!!
Wo cycle purani!!
Gharo se nikal kar Wo paani ki jang,,,
Wo deewaro pe bikhre se rang,,,
Sabhi ko bhula kar, wo cricket ki game,,
Wo dabbe sajha kar lagana phir aim,,,
Wo khana, peena, thakna thakana,
Khelon k chakar mei sab bhool jana,,
Lo phir yaad aya wo guzra zamana!!
Wo cycle purani!!
Wo mamta ka anchal wo rehmat ki jeb,
Wo wahid haqeeqat paak o be aib,,
Wo bhai behen ka khushyan manana,,,
Wo choti si baaton pe ghar ko sajana,,
Thi jannat si dunya, aur dil ka khazana,,
Wo ishq e haqeeqi aur aashiyaana,,
Lo phir  yaad aya wo guzra zamana!!
Wo cycle purani wo bacho ki rail,
Wo angan mei bachpan, wo bacho ke khel!! #Pehlealfaaz #wocyclepurani #bachpan #taalib #taapib_poetry