Kaash kuch aisa ho Ye saansein Iss shab mei hi tham jaye. Kaash kuch aisa ho Ye aankhein Kal ki sahar na dekh paye. Kaash kuch aisa ho Ye ruh Kisi ki ikhtiyar ban jaye. Kaash kuch aisa ho Ye dil Koi khwaab na sajaye. Kaash kuch aisa ho Ye vaqt Iss lamhe mei theher jaye. Kaash kuch aisa ho Ye zindagi Kisi ke dukh ka sabab na ban jaye. Kaash kuch aisa ho...