Paa-e-takmeel ko ponchey har kahani ye zaroori nai Kuch kahaniyan adhuri hi achi lagti hain Unki mastiyan unhi ko jachti hain Koi kissa thi tum meri zindagi ka Jo kahani ban ney chali thi Per kahaniyan to sirf sun ney m achi lagti hain Tum kahani ka wo hissa jisey kissa kaha jata hai Jo mehdood muddat k liye kahani ki ronak barhata hai Per usey nazar andaz kesey karein wohi to hai jo taa umar dil ko behlata hai