Nojoto: Largest Storytelling Platform

#OpenPoetry shaant Raho, Manan Karo Hanste raho, H

#OpenPoetry shaant Raho, Manan Karo
Hanste raho, Hansate raho
kam khao, gham Khao
chinta nahi, Chintan Karo
kisi ki Burai mat karo,
subah 1 ghanta Maun rakho
chama maang lo, chama Kar do
Nyuntam Awashyaktayen rakho
Sabko kriyatmak Sahyog do
Hamesha Sakaratmak soch rakho
Sabke Prati hit Ka bhao rakho
kamai ka Kuch hissa daan karo
Paristhitiyon se Taalmel bithao
Adhikar bhulo, Kartavya yaad rakho
seva Karo, Badle me Kuch mat chaho.
Subah 1 ghanta Khuli Hawa Me ghumo
Dhairya, Sainyam evam Sahansheelta apnao
Kam, Dheere wa Prem se bolo, Jyada Suno
1 ghanta Achcha Sahitya Padho ya suno,
Subah Jaldi utho, raat ko jaldi so.
Kisi ke Prati ishrya wa Dvesh ki bhawna mat rakho
kisi Par gussa na Karo, Apne upar bhi nahi
Kisi Ko dukh matt do, Kisi Ka Apman mat Karo
Pratidin satya gyan sunkar, Rajyog Ka Abhyas Karo
 #sukhi Rehne ke upaye #
#OpenPoetry shaant Raho, Manan Karo
Hanste raho, Hansate raho
kam khao, gham Khao
chinta nahi, Chintan Karo
kisi ki Burai mat karo,
subah 1 ghanta Maun rakho
chama maang lo, chama Kar do
Nyuntam Awashyaktayen rakho
Sabko kriyatmak Sahyog do
Hamesha Sakaratmak soch rakho
Sabke Prati hit Ka bhao rakho
kamai ka Kuch hissa daan karo
Paristhitiyon se Taalmel bithao
Adhikar bhulo, Kartavya yaad rakho
seva Karo, Badle me Kuch mat chaho.
Subah 1 ghanta Khuli Hawa Me ghumo
Dhairya, Sainyam evam Sahansheelta apnao
Kam, Dheere wa Prem se bolo, Jyada Suno
1 ghanta Achcha Sahitya Padho ya suno,
Subah Jaldi utho, raat ko jaldi so.
Kisi ke Prati ishrya wa Dvesh ki bhawna mat rakho
kisi Par gussa na Karo, Apne upar bhi nahi
Kisi Ko dukh matt do, Kisi Ka Apman mat Karo
Pratidin satya gyan sunkar, Rajyog Ka Abhyas Karo
 #sukhi Rehne ke upaye #