Nojoto: Largest Storytelling Platform

kuch hath gallon pe thapakiya nahi dete , khauf ke

kuch hath gallon pe thapakiya nahi dete ,
khauf ke nishan de jate hain,,,
nikal bhi jaye agar koi un bediyon se,,,
man ke bhitar ek dwand ched jate hain!!
thirak uthate the jo pair payalon ki jhankar se ,,
vo ab ek  parchaiyon se bhi saham jate hain!!
aankhe jo kal tak kajal sajati thi,
amavas ki kali syah ankho me bhar ate hain!!
bikharegi roshni,, vo phir se muskuragaegi,,
jaise rat ke andheron me hi tare timtimate hain🥰🥰🥰

©pratibha #ZulmKabTak