Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ek Nayi Shuruat Ek aag si thi seene mein, Jo bhuj

Ek Nayi Shuruat

Ek aag si thi seene mein,
Jo bhujne lagi hai ab,
Khud pe bharosa nahi raha,
Tut sa gaya hoon mein ab.

Woh junoon joh mere sarpe sawar tha,
Woh kaabilyat jo mera hathyaar tha,
Bhool raha hoon ab unn adatoon ko,
Khud hi tod raha hoon apne hi khwaboon ko.

Kamiyaabi ki talash mein kuch iss tarah mein dauda,
Ki dil se kareeb har aadat ko maine peeche hai choda,
Apne hi haathon se jaane anjane mein,
Maine apni hi chahaton ka gala maroda.

Jo haat kabhi uthaya tha kalam pakad zamana badalne ko,
Unhi se ab kuch likha nahi jaata,
Jo naino se har kisi ke rok leta tha ansoo kabhi,
Ab khud ke hi ansuno ko rok nahi pata.

Firse aaj kuch likhne ko yeh dil haami bharta nahi ab,
Tarraki ki iss daud me itna badal gaya mein kab?
Kisi ne kaha mat maan tu aise haar, ki abhi bhi tu sambhal sakta hai,
Khud pe rakh hausla aur jaan ki yeh waqt tu abhi bhi badal sakta hai.

Uski inhi baaton ne meri ratoon ki neend udayi hai,
Jo beete kal ki meri taakat thi shayad usne mujhe fir lautayi hai,
Bas isi baat pe aaj yeh kalam firse uthayi hai,
Bas isi koshish mein firse aaj maine kasam khayi hai,
Ke tod kar yeh khamoshi maine awaz badhayi hai,
Ab khud ki zindagi ke khali panno ko khud hi bharne ki aaj maine firse aas jagayi hai. 

                                                                   ©Krunal Brahmbhatt 2020 Ek Nayi Shuruat
Insta Page:@Paradigm_Poet

#PoetForLife

#Stars&Me