Nojoto: Largest Storytelling Platform

Baithe baithe  yu hi dil me khayal  aaya, Kya kam

Baithe baithe  yu hi dil me khayal  aaya,

Kya kami thi mujh me jo wajah ban gayi unki mujhse door hone ki...

Kaash woh lamhe mai phir se ji pata

Aur unhe batata ki kitni udaas ho gayi thi zindgi unke jaane se,

Waqt har kisiko kuch na kuch sikhata hai…

Maine bhi sikha tha tumhare yaado ke sahaare jeena aur wajah tumhare bagair jeene ki…

Tamanna bahot thi tumhe dhund kar gale lagane ki,

Lekin phir socha shayad us rab ki marzi se tum mujhse door ho,

Rab ko toh mai bhi maanta hu aur rab ke faisle ko mai na maanu, kya mai itna kamzor hu?

Us rab ke liye maine tere bina jeena shuru kiya aur duaen maangi tumhari  safal zindgi ki...

Suna tha pyar hamesha sahi waqt pe galat insaan se hota hai aur sahi insaan se galat waqt par, 

In alfazo ne mujhe soch ne ko majboor kar diya ki kya woh galat the ya mai,

Mera pyaar waqahi me sahi insaan se hua yeh mujhe maloom tha, jisme Kasme, Waade, Iraade the,
 jinhone mujh me ek hosla banaye rakha aur takad di aage badne ki…

Aaj bhi ham unke baare me sochte hai toh aankh se aansu bikhar jaate hai, 
sochte hue ki kyu aaya tha woh lamha mere zindgi me,

Jinhone mujhe har ghadi har dam pyaar diya hasaya aur sath hi sath rulaya bhi….

Bas yahi chahta hu ki woh lamhe hamesha mere zehen me base rahe,
 unke sahaare toh apni kashti chala rha hu iss samandar jaise zindgi ki...

Soch rha hu phir mohabbat kar lu, ji lu apni zindgi apne usool se, 
lekin baar baar yahi aawaj kaano me gunj rahi yai...

Jaane kab meri aadat banegi tere siva jeene ki... #missingmylove