Nojoto: Largest Storytelling Platform

Aj pir ye zindgi mujhse boli. Itna kese muskura le

Aj pir ye zindgi mujhse boli.
Itna kese muskura lete ho tum
Apne gamo ko apne dil me kese chupa lete ho tum.
Mene kaha, Sajda nahi krta me gamo ka.
Inhe bas khud tak samet ke rakta hu
Auro ki tarah me har baat ka fizool hi shor nahi karta hu.

Itna dard deti hu me tumhe.
Kya  tumhara kabhi rone ka man nahi krta?
In sab se khud ko azaad krke,
Sukoon se sone ka man nahi krtta?
Me bola ki sukoon ki talash to unhe hti hai jo zindgi ke khel me thak jatey hai.
Apni sari pareshaniya upar wale ke bharose rakh jatey hai.

Has kar boli pir wo mujhse,
Akhir kab tak esa kar paoge.
"Ek din tum bhi zindgi ke safar me auro ki tarah  thak jaoge."
Kaha mene pir, Jis din rah mil jaegi us din beshak ruk jaunga.
Thakna mene seekha nahi akhiri saans tak ladta jaunga.

Hasi wo mujhpe aur kaha, Mujhse kn jeeta hai,
Mene to sbko haraya hai.
Zindagi ke khel me mene sbko giraya hai.

Muskuraya me bhi, kaha "aazma ke dekh le mujhe bhi ae zindgi, 
haarna mujhe aata nahi."
Kamyaab hone ka jo nasha hai. Ye mere zehen se jata nahi.
Ladunga me kayamat tak, ladunga jab tak sasnse barkarar hai,
Kyuki bina lade jo haar jaae, wo khel khlna hi bekar hai....!!

 #life #lessons #poem #sucess #failure #yqbaba #yqdidi

emanation7628

Emanation

New Creator