White Haan, main aadmi kharab ho sakta hoon, Kabhi ziddi, kabhi beparwah ho sakta hoon, Par jo dil mein hai, wahi labon pe laata hoon, Na jhooth se jeeta, na jhooth ka sahara leta hoon. Main shararti hoon, thoda alag bhi, Kabhi baatein tez, kabhi andaaz sakt bhi, Magar rishton mein dagabaaz nahi, Jo ek baar apna liya, uska ho gaya phir wafaaz nahi. Log kehte hain, "Sudhar ja thoda," Par sach bolne ki aadat nahi chhodi ja sakti, Main galat ho sakta hoon, kamzor bhi, Par jhoothi duniya ka hissa nahi ban sakti. Bohot buraiyan hain mujh mein, Par ek shayad tumhe pasand aa jaye, Main sach bolta hoon, chahe chubhe kisi ko, Par jhooth ke saaye mein jeena mujhe na aaye. ©Yui Akuma #good_night #Nojoto #nojotohindi #Self