Jab darakht khamosh the aur badal shor kar rahe the main tumhe yaad kar raha tha. Jab aurtein aag raushan kar rahi thiin main tumhe yaad kar raha tha. Jab maidan se ek bacche ka janaza guzar raha tha main tumhe yaad kar raha tha. Jab qaidiyon ki gaadi adalat ke samne khadi thi main tumhe yaad kar raha tha. Jab log ibadat-gahon ki taraf ja rahe the main tumhen yaad kar raha tha. Jab duniya mein har shakhs ke paas ek na ek kaam tha main tumhen yaad kar raha tha. ©Shubham Vishwakarma tumhe yaad kar raha tha #Seating #mylady #mywife #Jana