Nojoto: Largest Storytelling Platform

KOSHISHEY Khamaoshiyo mein gum hokar tarashana ha

KOSHISHEY

Khamaoshiyo mein gum hokar tarashana hai khud Ko, 
Chhute hue sapnon ko jikar dikhana hai khud Ko,
 Khud ki ummidon se jyada bade mukam hasil karne hain ab mujhe, toh lo chala hun main ek bar fir se khud Ko jeene,
khud ko dhundhne ek naye saffar per.

 Ye railgadi ki chhuk chhuk awaaz Jaise meri dhadkan hai,
Ye piche jaati Hui rail Jaise meri ragon mein behta khoon,
Ye badaltey nazare hai jese, badalta waqt badalti paristhitiyan.

Ab lagta hai ki yeh saffar keh Raha hai mujhse,
 ki mere Sher rukna mat, bss daudta ja iss railgadi ki tarah.
 Kafi rukavatey aaengi tere raste mein, per tu rukna nahin, 
Teri manjil per pahunchega zarur, der lagegi per voh samay aaega zarur, bss sabra rakh voh samay aaega zarur.

 Per tum ye mat samajhna ki kabiliyat kho di mainey meri,
 main vahi hun Jo kal tha,
 Per ab samay ka khel hoga kismat badalne ke jasbaton se har mukam hasil hoga,
 Ek daour bitega, naya daour apna hoga,
 Kaun apna Kaun paraayaa ye sach saaf hoga.
Tum Aaj sath Ho, kal dekhenge kal kon sath hoga,
Jab samay apna hoga, jab mere sare karm aaenge mujhse meri is acchi kismatey karne adaa.

©Chahat Bobade
  Koshishey by chahat bobade 
#khamoshiyokealfaz

Koshishey by chahat bobade #khamoshiyokealfaz

99 Views