Dil-E-Shefta Kyun yeh soch mein dooba rehta hun Kuchh kehna to dur ki baat kyun likhne se bhi main dar jata hun Kyun yeh soch mein dooba rehta hun Tumhe yaad main kaise karun jab kabhi bhul nahi sakta Tumhare sath bitaye lamho ko sajana kabhi chod nahi sakta Khair na manjuri agar mili tumse tab bhi main yeh kabool karta hun Main tumhare liye hi jeeta hun bas tumse pyar karta hun Kyun yeh soch mein dooba rehta hun Kismat ki baatein rab hi samjhe tumhe mere dil ne apna liya hai Azmana agar tumhe ho pasand to meri dhadkan bhi hazir hai Jane anjane mein jo waqt ne kiya mere saath uske liye ab rota rehta hun Tumhari muskan lout aye main yeh dua karta hun Kyun yeh soch mein dooba rehta hun #dil_e_shefta #feelings #love #life #yqthoughts