Nojoto: Largest Storytelling Platform

KHAUF READ THE CAPTION... Hum sab apnai andar haza

KHAUF
READ THE CAPTION... Hum sab apnai andar hazaarun raaz chupayai huvai rkhtai hai.kyun? Shayad issiliye taaki loug kbhi hmai puuri tarah na jaan paayai.Par uskai paas tou aisae raaz thai jo usai har insaan sai mukhtalif bnatai thai.Kahani apni usnai kyi logun ko sunayi par puuri kahani kahan btayi.koun btata hai apni mukamal kahani.Uski kahani tou aisee thi bhi nhi ki sab ko sunayi jayai.Par usnai mujhe woh kahani sunayi.usai dafna k jab waapis aayi tou thaki huvi thi.aankhein bnd krtai he foran neend aagyi .Tab woh merai khwaab mai aayi.Aur mai darr gyi.Mai zor zor sai cheekhnai lgii.Ghr vaalai mujhe dekhnai aayai aur chup kranai lgai.Mai bht royi par kisi nai bhi nhi pucha ki kyun ro rhi ho.Sab yhi keh rhai thai ki buri nazar lgii hai .jisko jo wazifa yaad tha woh whi pdai jaarha tha.woh aek baar puchtai ki kya huva tou shayad mai sab btadaite .btati ki maine kya dekha hai.Jiska janaza maine apni aankhun sai dekha tha whi masuum khuun k aansu ro rhi thi merai khwaab mai .Bht takleef mai thi woh.Aur mai kch na krpaayi usai bachanai k liyai.Kisnai ki thi uski aisee haalat? Arey woh tou masuum thi woh jissai abhi baat krnai k liyai lafz dhuudnai pdtai thai.Jo sahi sai bol bhi nhi paati thi.Usai iss azaab mai kisnai daala.Yeh sochtai sochtai mujhe phir neend aagyi.Par woh sukuun sai na so paayi.Ab aaj tou mai uski puuri kahani jaanti hu issiliye tou dari huvi hun.Kaash mai usai bacha paati.Uski hifaazat kr paati tou aaj woh yahan hoti aur iss tarah madad k liyai dar badar na bathakti .Mai itni buzdil kyun hun.Mai uskai liyai na tab kch krpaayi aur na ab itni himmat hai ki uskai qaatil ki haqeeqat sab k saamnai laavun.Haqeeqat saamnai laana tou duur ki baat hai mai tou ussi qaatil k saamnai jhuk kar salaam krti hu.#emars#11

emars4874865518311

Emars

New Creator