Kvi Jindgi ki rosandaan se wapas jhakta hu, Ek nanha bachcha khud se rutha milta hai, Ek sapna bilkul jhutha milta h... Na jane us bachpan se, mera ye kaisa nata tha, Ungli pakad ke papa ki, khusiyon me kho jata tha... Ma ki malmali god, loriya sunaya krti thi, Dudh katori le kr wo, chand bulaya krti thi.. Wo dada ji jo kisse, roj sunaya krte the, Bitha kr budhe kandhe pr, wo gaaw ghumaya krte the.. Us bachche me aaj kahi mai khud ko v to pata hu.. Mand mand muskaan liye, un yaadon me kho jata hu.. Kvi Jindgi ki rosandaan se wapas jhakta hu, Ek nanha bachha khud se rutha milta hai, Ek sapna bilkul jhutha milta h... wo Bachpan #virginpen #childrensday #poetry #nojoto #sayri