beshaq apka chhotu hu main 'sahab' magar muje chhotu banaya halato ne hain. warna main bhi kisi ka _ raja beta tha. papa kahte the _ " ki jab zimmedariyan aayegi naa to sab sikha jayegi. " magar muje yeh nhi pata tha ki zimmedariyan kitaabein cheen kr ye chai ki ketal thama jayegi. ek bat kahoon sahab _ " jab zimmedariyon ka bojh jab kandhe pe aata hain na..? tab school ka bsta kahin raste mein hi sath chhod deta hain. " apka apna - Chhotu #chhotu #childlabour #child #labour #bachpan