Nojoto: Largest Storytelling Platform

Poochhega tujhse roz-e-mahshar jab Khuda Kya kiya

Poochhega tujhse roz-e-mahshar jab Khuda
Kya kiya tune meri ne'maton ka ae insaan zara bata

Guzaar rha jo ye bemaqsad zindagi tu yahan 
Hoga kya jawab tera us zaat ke samane ae insaan zara bata

Hai khabr tujhe ji raha hai jo tu ye bas ek safar hai 
Manzil to akhir teri Do gaz ki qabar hai fir kyu itna befikar hai

Kisi na kisi maqsad se kiya hai tujhe usne wabasta
Fir kyu nhi karta hai tu  muqammal use 
Hashr ke din kaise karega tu samna uska ae insaan zara bata 

Kisi ke yahan jaate hue bhi tohfe sang le jaate hain 
Tu le ke us Rab ke saamne kya jaayega ae insaan zara bata

Hai nhi aamaal tere is qabil ke tu unpe fakhr kar sake 
To kyu na kuch nekiyon ka hi bandobast karle 
Ke khali hath kaise jayega ae insaan zara bata  #khuda #amaal #yqqoutes #yqbaba  #newwritersclub #yqbhaijan #yqdidi #urduquotes