Thak chuka hu mien tujhko samjhate samajhte.... Ab samjhne ki bari teri hai..... Roya tha jo mien khun ke aansu.... Ab unhe pine ki bari teri hai..... Chali gayi thi jab chodh ke jab kaise roya tha mien.... Ab mere jane ke gam mien rone ki bari teri hai..... Chupa raha tha sabse ki tu yahin hai kahin nahi gayi... Ab chupne chupane ki bari teri hai.... Kitna bulaya tujhe par tu na aayi.... Ab mujhe wapis bulane ki bari teri hai..... Jantu hu hanste hai log mujh par.... Ab apna majak banwane ki bari teri hai.... Pata chalega jab rahegi akeli.... Ab yado mien jeene ki bari teri hai.... Kar li man ki bana liya naya yaar…. Ab ye rishta jad se mitane ki bari meri hai…. Bahut jhel liya teri harkato ko…… Ab tujhse ehsaas dilane ki bari meri hai…. Khush rehna jiske sath or jahan bhi rehna… Ab tujhe bhulane ki bari meri hai….. Badunga jarrur mien aage apni jindgi mien… Kyuki ab khush rehne ki bari meri hai…… #intekaam #Dhokha #aapbiti #merijindgi