Usey Kehna Ye Duniya Hai Usay Kehna Ye Duniya hai Yahan Har Morr pe Ese bohat se Log milte hain Jo Andar Tak Utertay hain Abad Tak saath rehne ki Ikathay Dard sehne ki Hamesha Baat krte hain Usay kehna Ye Duniya hai Yahan Har Shakhs Mtlb ki Haddon Tak saath chalta hai Junhi Mosam Badalta hai Mohabbat k Sabhi Daaway Sabhi Qasmein Sabhi Waaday Achanak Toot jatay hain Use kehna Ye Duniya hai Yahan Har Morr pe Apni Sada Aankhein khuli rakhna Koi kitna b acha ho Koi kitna b sacha ho Mgr aitbar mat krna Usay kehna Ye duniya hai Yahan pe Pyar mat krna . Usay KehNa ye DuNia hai