Nojoto: Largest Storytelling Platform

Mana ke thodi behisab hun , par ek baat kahun, dil

Mana ke thodi behisab hun ,
par ek baat kahun, dil ki saaf hun...
Naraaz thoda jaldi ho jati hun ,
par kisi k door jane k khayal se bhi darr jati hun...

Haan mana k main aaj k hisab se practical nahi hun...
Emotional thoda jaldi ho jati hun,
par sach kahun toh aise zamane ko main samajhna bhi nahi chahti hun...

Haan mana k main aaj bhi kuch rishton par apni jaan vaarti hun...
Is domuhi duniya se tabhi haar bhi jaya karti hun...
par ek baat to ye bhi hai na,ki main rishton ki zindadili ko jaanti hun...

Haan mana k main har party festival par behadd muskurati hun...
Choti Choti khushiyon ko kuch zyada hi bada bnati hun...
par sach kahun main aise hi har lamhe ko bas pirona chahti hun...

Haan mana k main pyar ko aaj bhi sabse ahem maanti hun,
Agar Rishta banati hun toh use zindagi bhar nibhati hun...
par ek baat kahun main aise hi zindagi ko taumra jeena chahti hun...

©Deepanshi Srivastava #main #Main_akeli 

#girl