Zindagi par kitaab likhunga Usme sare hisaab likhunga Apne hi sare adhure Sawalo ke jawaab likhunga Kuch badlte apno ke lahje likhunga Kuch apne tute huye khwaab likhunga Kuch apne halaat likhunga Apne adhure pyar ki sari bat likhunga Apno ke diye jakhmo ka hisaab likhunga Apno ki beimaani ki bat likhunga "Zindagi par apni ek kitaab likhunga" Zindagi pr apni ek kitab likhunga