Nojoto: Largest Storytelling Platform

Mai qalam hun, mai likhta chala jaunga Sach ko sac

Mai qalam hun, mai likhta chala jaunga
Sach ko sach, jhoot ko jhoot kehta chala jaunga

Jab bhi zulm apne hudood_e_intahayi ko pahunche
Lafzon k zariye cheekh kar pukarta chala jaunga

Koi bachaa na ho jo Sharr_o_badd k khilaf aawaz uthaye
Mai fanoos bann kar uss se ladta chala jaunga

Gehre baher_o_barr me iss qadar kho kar kahin
Mai boondh boondh karke ilm_o_hunar ko samet'ta chala jaunga

Kabhi na_haqq qalam se mai haath na milawunga
Raah_e_haqq ka roshan sitara bann kar chamakta chala jaunga

Jo bhi de aatish_e_nafrat ko hawa zehrili
Uss shola_e_sharr ko mai bujhata chala jaunga

Mai anmol hun, mujhe juda na kar tu khudse parvez
Mai teri harr ek achchayi ko likhta chala jaunga  Mai qalam hun... 🖋️🖋️🖋️💜
Meaning :-
Sharr_o_badd = burayi aur badi
Baher_o_barr = samandar aur zameen
Raah_e_haqq = Sachchayi ka raasta
Hudood_e_intahayi = sab se aakhri Hadd, final destination
Aatish_e_nafrat = nafrat ki aag

parvezkhan4859

Parvez Khan

New Creator

Mai qalam hun... 🖋️🖋️🖋️💜 Meaning :- Sharr_o_badd = burayi aur badi Baher_o_barr = samandar aur zameen Raah_e_haqq = Sachchayi ka raasta Hudood_e_intahayi = sab se aakhri Hadd, final destination Aatish_e_nafrat = nafrat ki aag #yqdidi #urdupoetry #yqbhaijan #urdulove #pennedbyme #Dil_k_alfaz #parvezkhan