Nojoto: Largest Storytelling Platform

karen kya hum udan babu... maan gaye hai hum haar

karen kya hum udan babu... 
maan gaye hai hum haar babu....
mol riston ka pata tha hume .....
isliye sub kuch bardash karte aye.....
ab budhe hue hai to jaan gaye 
hai kya hai aulaad babu....
bacchpan me kadhe pe bithaye mela 
dikhaya tha jinko 
dawao aur jaruraton se bandhi umar ko,
 zimmedari uthane se kar rahi hai inkaar wahi aulaad babu....
jitna kamaya sb lutaya 
ghar banaya ,baccho ko kabil banaya,
unki jholi rahe bhari kar diya khali 
isliye apna hath babu.....
maan gaye hai hum haar apni hi aulaad se babu
khane ko dete nahi ,
dard humara humse pucchate nhi 
aaj bhi in bacchi haddiyon se nikaal rahe 
hai ye kaam babu 
maan gaye hum haar babu....
karte hai karz ye ,chalate hai gadi 
gadi me tel hai dalna to paise chahiye
baap se babu.....
maan gaye hum haar babu ....
inko hai sirf apni padi kamana inko hai nahi....
par udane hai paise....
agar maang lu kuch paise to sunne ko milta hai 
bht bolte hai aap,
1000 me chalaiye mahine ka kharch .....
sugar ,bp ,wali umer hai humari....
ab kya hi hisab de babu....
hum to har gaye hai ...
apni hi aulaad se babu.....

©kritim maitri:)
  #parents#love#aulaad#kandha#bacche#paise#zimmedari