Nojoto: Largest Storytelling Platform
gaurav7281482602944
  • 151Stories
  • 37Followers
  • 2.6KLove
    20.4KViews

Ek Gaurav

Welcome to my new channel Here you will get emotional love and bhakti all the contents with new words those will touch of your heart and you will feel as in real from your soul ....🙏🙏🙏 Please subscribe YouTube channel The Gaurav Star

  • Popular
  • Latest
  • Video
099b4f64566e772a7c0ccb619085c4b1

Ek Gaurav

White Ye toh pata tha ki zindagi sitamgar hoti hai
Kisi ka judta hua  kisi ka tootta ghar hoti hai
Magar khamosh sachhe insaan ke liye na jaane kabhi 
Na jeene ka ek kahuf ek dar hoti hai
Kyu aksar kisi ki zindagi mein kuchh rishte aise judte hai
Jinke maryadein aur bachan pata nahi kin raaston ki aur mudte hai
Achanak kyu saza e maut deti hai kisi nek ashiq deewane ko
Kyu aatur ho jaati hai kisi ki khelti hasti mitane ko
Aisa jakhm deti hai ye jaalim kisi ko taumra ke liye
Aankhein nahi sambhalti hai ansuon ke samunder  thamane ko

©Ek Gaurav #Thinking  sad love shayari

#Thinking sad love shayari #SAD

099b4f64566e772a7c0ccb619085c4b1

Ek Gaurav

White Na Jaane Kitni baat andar hi andar dil mein sanjokar baithe hai
Khud ko apno ko samjahane ke liye bas andar hi andar rokar baithe hai
Maloom nahi aur saath hi saath himmat bhi nahi hai kisi se batane ki
Kyuki apne ab hamare khud ke dil se bahar hokar baithe hai

©Ek Gaurav #Thinking
099b4f64566e772a7c0ccb619085c4b1

Ek Gaurav

White Dil kuchh Man kuchh Zubaan kuchh aur kehti hai
Jab ki ye teeno cheeez Ek hi tan se judkar rehti hai
Magar aankhein bhi toh is tan ka hi ek hissa hai
Jo teeno ke dard sunkar teeno ke liye phoot phootkar behti hai

©Ek Gaurav
099b4f64566e772a7c0ccb619085c4b1

Ek Gaurav

White Khamosh zindagi ka har lafz kuchh keh rah hai
Na jaane kitni takleefon ka huzoom zindagi ka har pal seh raha hai
Ankhein toh hasti thi har waqt kabhi hamari bhi
Kuchh toh wazah hi hogi jo aaj ankhon mein hamari  samander beh raha hai

©Ek Gaurav #Thinking
099b4f64566e772a7c0ccb619085c4b1

Ek Gaurav

White Na jaane kitne zindagi ke rusool hai 
Zindagi har lamhe karti apne udhaaron ka wasool hai
Hum toh Farz samajhkar nibha rahe har zindagi ke har pal ko
Phir Phool hokar bhi zindagi kyu lagti Jaise Shool hai

©Ek Gaurav #Thinking
099b4f64566e772a7c0ccb619085c4b1

Ek Gaurav

White Apne amook ko samajhne mein galti kar baitha
Uspar aitbaar karne ki bahut jaldi kar baitha
Jo mod tha aaya bichaouliya bankar dono ka
 Woh mod toh pehle hi apni palti kar baitha

©Ek Gaurav #Thinking
099b4f64566e772a7c0ccb619085c4b1

Ek Gaurav

White Zindagi anbarat dodti hi jaa rahi hai
Har khwab ko jaane kyu todti jaa rahi hai
Jo dhaara seedhe khwab ke kinari ki aur hai
Us kinaare ko gaharayi se jodti jaa rahi hai

©Ek Gaurav #Thinking
099b4f64566e772a7c0ccb619085c4b1

Ek Gaurav

White Kisi Angana ka anjan khoobsurat nazar aata hai
Antardhaan hone ke baad wahi badsurat nazar aata hai
Antashth se dilon ki badi kaali hoti hai wahi
Jinke andar tumhe pyar ka murat nazar aata hai

©Ek Gaurav #Thinking
099b4f64566e772a7c0ccb619085c4b1

Ek Gaurav

White Kinara nadi ka nazar nahi aa raha hai
Dil ki dhadkano ka khumaar badhta hi jaa raha hai
Ab doobna toh tey hai hi hamara
Bas maut ka manzar kabse yahi hame samjha raha hai

©Ek Gaurav #Thinking
099b4f64566e772a7c0ccb619085c4b1

Ek Gaurav

White Maana har  khushi mujhee rooth si gayi hai
Jo thi umeed zindagi se ab toot si gayi hai

©Ek Gaurav #Thinking
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile