Nojoto: Largest Storytelling Platform
ataullahkazi1492
  • 9Stories
  • 56Followers
  • 68Love
    191Views

Ataullah Kazi

Ek Aam Musafir zindagi ka

  • Popular
  • Latest
  • Video
0b112329dfe2c04ca411ffaae6ee6eef

Ataullah Kazi

Kabhi itr bankar kabhi khushboo bankar.
Tumhare husn ko jab bhi  mehkayenge hum.
Karoge yaad hum ko jo tanhaiyon mein.
To banke  ashq nazar se chalak jaayenge hum.
Jo hoga humara bhi zikr mehfilon mein.
To tanhaiyon mein bahut yaad aayenge hum.
Jo samjhoge jab bhi baaton ki gehraiyon ko.
Yun  banke ghazal  kaghzon pe utar jaayenge hum.
Karoge yaad jab bhi humein tum ai dost.
Yun Ahde wafa tumse nibha jaayenge hum.

©Ataullah Kazi
  Khushboo

Khushboo #Shayari

0b112329dfe2c04ca411ffaae6ee6eef

Ataullah Kazi

Humko to andheron mein rehne ki aadat si ho gayi hai.
Shaayad ghumon ko humse muhobbat si ho gayi hai.
Ruth jaana Yun khushiyon ka muqaddar mein likha hai.
Shaayad unko bhi humse adaawat si ho gayi hai.
Kehte hain woh ke humko to kuch kehne ka haq nahin.
Humse issi baat ki unko shikaayat si ho gayi hai.
Apno ki mehfil mein unka  humein ghair banana.
Shaayad yeh unke yahan riwayat si ho gayi hai.

©Ataullah Kazi
  Riwaayat

Riwaayat #Shayari

0b112329dfe2c04ca411ffaae6ee6eef

Ataullah Kazi

Khud aap hi mein khoye phir khudko jagaya humne.
Sehra mein tanhayi ke ghar apna banaaya humne.
Yun ponchne ko aansoo koi saath nahin hai apne.
Aansuon ko apne aankhon mein chupaaya humne.
Aate the chalak yeh bhi, aati thi jab unki yaadein.
Yun rote hue muskurana khudko sikhaya humne.
Rehte the kashmakash mein bhatak jaayein na kahin hum
Shamma Yun banke khud ko rasta dikhaya humne.
Koi Jo thaamne ko meri zindagi ko aaye
Is Ummeed ko kahin to jaake dafnaya humnein.

©Ataullah Kazi Tanhayi

#Silence

Tanhayi #Silence

0b112329dfe2c04ca411ffaae6ee6eef

Ataullah Kazi

Kai baar kehna chaha humein tumse pyaar hai.
Kehne se khudko roka tera intazaar hai.

Koi tujhsa  na milega humein is jahan mein.
Koi tujhsa nahin hoga humein aitbaar hai.

Dil cheez hai kya yeh jaan bhi haazir tere liye.
Mango jo chahe manglo  tumhein ikhtiyar hai.

Kyun jaane issi  baat se darta hai mera dil.
Kahin chod ke na jaana yeh dil beqaraar hai
.
Ik pal bhi dur tujhse na jee payenge kabhi.
Deedar e yaar mere yeh dil ka qaraar hai.

Koi na hoga mujhsa yeh aashiq jahaan mein 
Chaahat yeh mere dil mein teri beshumar hai.

©Ataullah Kazi
  Izhaar e Muhobbat

Izhaar e Muhobbat #Shayari

0b112329dfe2c04ca411ffaae6ee6eef

Ataullah Kazi

Na jaane kyun tabiyat mein kaisi udaasi chaayi hai.
Na jaane kiski yaad mein yun aankhein bhar aayi hai.
Rahun khamosh gar to khud mein tadap jaaun main.
Gar kehdun to us shaqs ki ruswaayi hai.
Issi gumaan mein hum ne na kuch kaha ab tak.
Ke unki pardaposhi hi unki husn e zebayi hai.
Har ek baaton ko ghaur se samajh ke dekho.
Pata chalega ke unmein kitni gehraayi hai.
Humein gar aazmaana ho to aazma lena 
Ayaan.
To hoga yaqeen ke hum mein kitni sachchayi hai.

©Ataullah Kazi
  Udaasi

Udaasi #Shayari

0b112329dfe2c04ca411ffaae6ee6eef

Ataullah Kazi

Hum unse ahd e wafa nibhate chale gaye.
Woh humse daaman apna chudake chale gaye
Unse bichadke humko hua is baat ka malaal.
Kyun zindagi mein woh meri aake chale gaye.
Shayad unke pyaar pe tha pura yaqeen unhein.
Thukrake Muhobbat meri muskurake chale gaye.
Hum apne zakhmon ko dikhate bhi to kisko?
Yun shayari mein dard ko pirotey chale gaye.
Kab tak manaate sogh unke jaane ka ai AYAAN.
Yaadon ko unke hum kahin dafnaate chale gaye .

©Ataullah Kazi Ahd e wafa

#intezaar

Ahd e wafa #intezaar

0b112329dfe2c04ca411ffaae6ee6eef

Ataullah Kazi

Woh kya gaye meri duniya veeraan si lagti hai.
Zindagi meri ek khali makaan si lagti hai.
Ke jismein dard o ranj aur sirf khamoshi.
Jism to jism, rooh bhi ab bezubaan si lagti hai.
Ab to ummeed ke tham jaaye yeh dard ka Toofan.
Mujhko ab yeh bhi to bas gumaan si lagti hai.
Woh unke saath bitaye lamhein bhulaana na mumkin.
Unhi ke sang zindagi baghbaan si lagti hai.
Humne sikha hai samandar se koshishein karna.
Mauj saahil pe takrakar phir rawaan si lagti hai.

©Ataullah Kazi Viraan duniya

#Goodevening

Viraan duniya #Goodevening

0b112329dfe2c04ca411ffaae6ee6eef

Ataullah Kazi

Shaam hone ko hai Ghar jate hai
Ab Bulandi se utar jate hai

Zindigi samne Mat Aaya kar
Ham tujhe dekh kar dar jate hai

Khuab Kiya dekhe thake haare log
Aise sote hai k mar jate hai

Khud mein kuch is tarha se toote hain.
Thes halki si lagne pe bikhar jaate hain.

Ashq jo bankar hum un aankhon mein utar aate hain.
Apni khamosh nigahon mein sawanr jaate hain

©Ataullah Kazi Ashq e zindagi

Ashq e zindagi #Shayari

0b112329dfe2c04ca411ffaae6ee6eef

Ataullah Kazi

Kabhi us ehsaas ko bhi dil se samajhna yaaron.
Milke maujon ka youn saahil se bichadna yaaron.
Kissi ki talkh zabaani se us dil ka haal.
Jiska khamoshi se yun tutke bikharna yaaron.
Paas rehkar bhi jinko samajhna hai mushkil
Dur rehkar ke jinki yaadon mein tadapna yaaron
Dur rehkar jinki yaad mein tadpe barson tak. 
Unhi ki yaad mein ashqon ka yun  behna yaaron.
Koi rehbar to Miley is mehfil e tanhaai mein.
Andheri raat mein jaise tarey ka chamakna yaaron..

©Ataullah Kazi Ehsaas e Judaai

#Nofear

Ehsaas e Judaai #Nofear


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile