Nojoto: Largest Storytelling Platform
manishachaudhary7041
  • 15Stories
  • 32Followers
  • 63Love
    0Views

Manisha Chaudhary

srkian student (bsc ) I love last lines of my poems 😅

  • Popular
  • Latest
  • Video
1bab39b1a791cc2883ccf7e9a3ae6527

Manisha Chaudhary

Tu tha.... Tu nahi hai 
Par apna ishq vahi hai 
Khayaalon ka khel bhi ajeeb hai 
Behisab se aate hai...
Aur sochte sochte khayalon se khwaabo me tabdeel Ho jaate hai 
June ki uss taareekh se June ki iss taareekh tak sab Kuchh badal gya jaise.. 
Tu tha...... Tu nhi hai

5 Love

1bab39b1a791cc2883ccf7e9a3ae6527

Manisha Chaudhary

Ab likhu toh kiske lie 
meri adhuri kahani tum ho 
Khuda ne mujhse jo ki 
vo pyaari beimani tum ho 
Jism ko chhodhkar 
rooh savarti hu tere lie
Kuki  janti hu khi gye nhi  
bas meri rooh mein khi gum ho

4 Love

1bab39b1a791cc2883ccf7e9a3ae6527

Manisha Chaudhary

Ab likhu toh kiske lie 
meri adhuri kahani tum ho 
Khuda ne mujhse jo ki 
vo pyaari beimani tum ho 
Jism ko chhodhkar
 rooh savarti hu tere lie
Kuki  janti hu khi gye nhi  
bas meri rooh mein khi gum ho

2 Love

1bab39b1a791cc2883ccf7e9a3ae6527

Manisha Chaudhary

Uljhan suljhane ki koshishon me hu mushkil niptaane ki saazish me hu 
Hu kaha ye bhi nhi pta mujhe bas 
Khud ka maseeha banne ki khwaish me hu

3 Love

1bab39b1a791cc2883ccf7e9a3ae6527

Manisha Chaudhary

Aaj thodi duriyan aur badha li 
Aaj raaste aur juda kar Diye 
Wajah bas Itni hi thi ki waqt nikal chuka tha ruthne manane ka

4 Love

1bab39b1a791cc2883ccf7e9a3ae6527

Manisha Chaudhary

Vaqt nhi hai Zara bhi mere paas aaj 
Kuki sar pr saja h zimmedari ka taaj 
Mere apne ja rhe h mujhse door
Na Jane Kaisa hai vaqt ka Ye dastoor 
Vo manpasand kaam bhi sare chhoot gye 
Vo pakke dost bhi sare rooth gye 
Bas apne sahi vaqt ka intezaar hai 
Phir se sab Kuchh pane ko Ye dil bhi bekarar hai

3 Love

1bab39b1a791cc2883ccf7e9a3ae6527

Manisha Chaudhary

Ek din sab khi dur juda ho jaenge 
Yeah rishte tab sabhi ko yaad aaenge 
Vaqt rehte vaqt naa de sake ek dusre ko 
Aur tab khuda ke samne vaqt ke lie gidgidaenge

5 Love

1bab39b1a791cc2883ccf7e9a3ae6527

Manisha Chaudhary

Jhooti toh hamesha se thi me 
Aur sach ke sab diwane hua krte the 
jhoot ki kahani banti thi 
aur sach ke fasaane hua karte the 
Vo din hi alag the jab mazaak ke naam Pr jhoot bolte the 
Tab hamare jhoote kisse bhi kahaani hua krte the # April Fools Day

# April Fools Day

5 Love

1bab39b1a791cc2883ccf7e9a3ae6527

Manisha Chaudhary

ladkiyon ki baat hi alag hai 
Unki muskaan hi alag hai 
Jo rote ko bhi hasati hai 
Sabko apna banati hai 
Unke naa me bhi haa chhupi hoti hai
Dard Kisi ka bhi ho dukhi vo bhi hoti hai 
Unke jazbaaton ko Kuchh log khel samajhte hai
Isi lie toh photo phone me par dil me nhi rakhte hai 
Sab Kuchh karne ki himmat rakhkar bhi sab Kuchh sehti hai vo 
Yhi toh uski sabse khaas baat hai 
Alag hai Soch uski alag jazbaaat hai

3 Love

1bab39b1a791cc2883ccf7e9a3ae6527

Manisha Chaudhary

Uth jaa sawera ho gya Ye kehkar mujhe jagati hai 
Meri maa sabke bartan uthakar hi khana khati hai 
Bus ke lie paise puchhkar papa mujhe bulate hai 
Meri mehengi kitabon ke lie paseena apna bahate hai
Har waqt ladne ko tayaar rehti meri behna hai 
Sabse buri dikhti hu me Aisa unka ka kehna  hai
Din Bhar papa ki chinta me dadi ka bp high hai 
Bhav bade hai dadi ke major jo unka bhai hai 
Ek hi hai sabme se jo dilo jaan se mujhpe Marti hai 
Iss duniya me sabse Jada pyar mujhi se karti hai
Saaf hai uska man jaise nadiyon me behta paani hai 
Koi aur nahi hai vo sidhi sadhi meri naani hai 
Kehne ko toh ek bhi nhi par teen mere bhai hai 
Jinke jeevan me meri Bhabhi manoranjan lekar aayi hai 
Itna sa bas itna sa hi mera parivaar hai 
Iss chhote se parivaar me hi basa mera sansaar hai

5 Love

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile