Nojoto: Largest Storytelling Platform
sarthakgupta9994
  • 5Stories
  • 0Followers
  • 39Love
    195Views

SARTHAK GUPTA

  • Popular
  • Latest
  • Video
3a48f66203d1b4b60b34d049b29af910

SARTHAK GUPTA

#CheerfulLove
3a48f66203d1b4b60b34d049b29af910

SARTHAK GUPTA

puch usse , teri nadaanio ko nazarandaz kar payega na vo ,
puch usse , tere bachpane mei khokar bachha ban payega na vo ,
puch usse , tere har aasu ka hakdaar ban payega na vo ,
puch  usse , teri kaamyaabi mei tujhse jada khush ho payega na vo ,
puch usse , 12 bajte hi teko morning wishes bhejna yaad rakh payega na vo ,
puch usse , busy hote hue bhi , tere call aane par , khali hi tha 
bol payega na vo ,
puch usse , ki tere sapno ko apna samajh payega na vo ,
puch usse , ladai hone ke baad tujhe manane ke liye , jhuk 
payega na vo,
puch usse , tere se hue har argument par , haar mei bhi apni jeet 
 dhoond payega na vo ,
puch usse , tere surat par nahi , teri sirat par tujhe apna 
payega na vo ,
puch usse, door hokar bhi ghanto call par baat karne ka bhana dhoond
payega na vo ,
puch usse , tere karib na hokar bhi , teri parchai ban payega na vo ....

©SARTHAK GUPTA #love❤ 
#Heartbeat
3a48f66203d1b4b60b34d049b29af910

SARTHAK GUPTA

#love #Angel #Miss_you 
#UnlockSecrets
3a48f66203d1b4b60b34d049b29af910

SARTHAK GUPTA

kash mei tujhe rok pata ,
apne dil ki baat bata pata
kya Ahmiyat hai teri , meri jindgi me 
fir tujhe mai kaash samjha pata ! 

yu to har roj khwaabo me aati hai , 
kash kabhi kisse khwaabo ke tujhe suna mei pata ! 

hasi aa jati hai , bs wo lamhe yaad karke 
aankhiyan nam ho jati h dobara un lamho ki chahat me 

kash mai kahta bhi nhi kuch , aur tujhe chahat apni dikha bhi pata
chupke se teri muskaan dekhta , halke se apni hasi ko chupa mai jata 

Kash teri har hasi ko khulkar jee mei pata 
Duniya hi har khushi tere saath baat pata

Sapno ko sabhi tere sach bna pata ...
Tere kahne se pahle , har zidd ko puri kar jata..

Har sapna tera ,mera hota... 
Aur usko sajane ka hakk bas mera hota

Dil ki kitaab teri hoti , par naam likha mera hota ..
Dhadkan meri aur jazbaat tera hota ...

Bas ek jhalak paane ko tere, har din mei tujhse ladhta 
Fir naa ko teri haa mei badalne ka besabri se intezaar mei karta

Phir ladte jhagadte , tera khayal bhi rakhta ...
Apni haar mei bhi, jeet ko mehsoos mei karlia karta

Waqt thaamne ko jee chahta, 
Har lamhe ko likh jaata

Phir un lamho ki ek kitaab banakar 
Dil ke ek kone mei kahi rakhkar mei bhool jaata

Tum bahar jati , ghar m bhi sambhal liya karta ,
Khana banane mei bhi kabhi saath tera de dia karta
Fir kuch naye pyar bhare taste ka maza mai lia karta

Phir se bore hone ka bahana bna , tujhe call lagaya krta..
Baato baato m , coffee date pr tujhe bula liya karta ...

Long drive par jaane ka bhana dhoondta 
Fir, Tera haath pakad puri duniya ghumlia karta
Apni duniyan phir m tujhe bna pata ....kash m tujhe rok pata !!

©SARTHAK GUPTA

3a48f66203d1b4b60b34d049b29af910

SARTHAK GUPTA

#ReasonICried


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile