Nojoto: Largest Storytelling Platform
piyushkumar2006
  • 29Stories
  • 0Followers
  • 0Love
    0Views

piyush kumar

  • Popular
  • Latest
  • Video
57ae9e8d167c8fd4e8213bf00a5531f6

piyush kumar

Na naam, na qissa
Na qitaab, na hisaab
Adaboadab se pehle aap pehle aap
Mubarak ho janaab lucknow me hain aap #lucknow #sasural
57ae9e8d167c8fd4e8213bf00a5531f6

piyush kumar

ADHURA ISHQ 
mai qila hu taash ke patton ka
koi ret ka makaan hu shayad
wo baandh hu
jo aksar tezz paani ke bahaao me toot jata hai

mai dariya hu
Samandar ki talaash me hu shayad

mai qila hu taash ke patton ka koi ret ka makaan hu shayad wo baandh hu jo aksar tezz paani ke bahaao me toot jata hai mai dariya hu Samandar ki talaash me hu shayad

0 Love

57ae9e8d167c8fd4e8213bf00a5531f6

piyush kumar

Ishq me doobkar dekho janaab upar hi jaoge,
Jo mili wafaa toh mashallah warna shayar kehlaoge

0 Love

57ae9e8d167c8fd4e8213bf00a5531f6

piyush kumar

Mai Shunya Hun Mai shunya hun, anant hu,
Aarambh hu, mai ant hu

Mai bhookh hun, mai pyaas hun,
Hawas hun, har ehsaas hun

Ghamand hun guroor hun,
Tabhi toh choor choor hun

Mai shunya hun, anant hu, Aarambh hu, mai ant hu Mai bhookh hun, mai pyaas hun, Hawas hun, har ehsaas hun Ghamand hun guroor hun, Tabhi toh choor choor hun #yourquote #midnightthoughts #yourquotebaba #Shunya #yourquotedidi

0 Love

57ae9e8d167c8fd4e8213bf00a5531f6

piyush kumar

YE KARMA HI INSAAN HAI...!!! 
Ye karma swabhimaan hai,
Ye karma hi samman hai,
Ye karma hi balidaan hai,
Ye karma hi pehchaan hai,

Ye shaurya ka pramaan hai,
Ye veerya ka nishaan hai,

Ye karma swabhimaan hai, Ye karma hi samman hai, Ye karma hi balidaan hai, Ye karma hi pehchaan hai, Ye shaurya ka pramaan hai, Ye veerya ka nishaan hai,

0 Love

57ae9e8d167c8fd4e8213bf00a5531f6

piyush kumar

Aayina

Aayina bhi waqt bataata hai, 
Khud ki tasveer dikhaata hai, 
Tab kaisa tha, ab kaisa hai,
Antar tujhko batlaata hai....

Kyu isko jhutha bol raha hai
Khud ko heeron me tol raha hai
Mitti hai tu Mitti me hi tujhko mil jaana hai
Phir kyu itna chillana , aur kyu itna hungama hai.... 

Aye insaan sach ye hai ki tu khudpe hi sharminda hai, 
Phir bhi dhindhora peet raha hai kambakht aayina ganda hai, 
Karta tha tab, ab karta hai jo wohi tera dhandha hai, 
Phir kyu hai khud se hi khafa, kyu khud se hi sharminda hai.... 

Ye tera ghumaan hi toh hai jo ab tak tu zinda hai, 
Aur abtak waqt ki qaid me hai, 
Ye hargiz teri galatfehmi hai, 
Ki tu azaad parinda hai....

Teri bhookh hi tera qaatil hai
Tu apne hi qatl me shaamil hai
Tu yaar bada beimaan hai
Kya kahein, aakhirkaar tu insaan hai....
 #yqquotesbaba #yqbaba #yqdidi #sarcasm #thoughts
57ae9e8d167c8fd4e8213bf00a5531f6

piyush kumar

Kaagaz pe aaj kal harf ba harf kuch utaara karta hun.. 
Kalam se shayad haathon ki laqeer sudhaara karta hun.. 
Atak jaaya karte hain kisi ajnabi ke khayal zehan me.. 
Aksar kisi gumnaam aks ki tasveer sawaara karta hun....!! 

  #yqquotes #yqdidi #yqdada #yqbaba #yqhindi #yqlovetales
57ae9e8d167c8fd4e8213bf00a5531f6

piyush kumar

Woh kaam bhala kya kaam hua har waqt charcha phone par ho....                      Woh ishq bhala kya ishq hua ho ghadi dekh dekh kar ho....  #piyushmishra #innovation #yqbaba #yqdidi #yqdidiquotes
57ae9e8d167c8fd4e8213bf00a5531f6

piyush kumar

Aap kisme yun mashgul hue, jo hosh gum hua zamaane ka.....
Jo iss qadar bewafa hue, bhool gaye khyaal iss roothe hue ko manaane ka....!!  #fresh #love #romance #yqbaba #yqdidi #yqdidihindi
57ae9e8d167c8fd4e8213bf00a5531f6

piyush kumar

Ya Allah aaj tujhe paighaam likhta hun... 
Ye khat bhagwan, tere bhi naam likhta hun....!!!  read caption for the rest of the content....

#yqbaba #yqdidi #yqdidihindi #lettertogod #hindi #urdu #yourquote
Ya Allah, aaj tujhe paigham likhta hun
Ye Khat, bhagwan tere bhi naam likhta hun...

Jab parhkar iss chitthi ko tum iska jawaab lautaoge...
Toh zaahir hai uss kaagaz pe apni muhar bhi lagao ge...

read caption for the rest of the content.... #yqbaba #yqdidi #yqdidihindi #LetterToGod #Hindi #urdu #yourquote Ya Allah, aaj tujhe paigham likhta hun Ye Khat, bhagwan tere bhi naam likhta hun... Jab parhkar iss chitthi ko tum iska jawaab lautaoge... Toh zaahir hai uss kaagaz pe apni muhar bhi lagao ge...

0 Love

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile