Nojoto: Largest Storytelling Platform
tejaswinisharma6221
  • 26Stories
  • 19Followers
  • 260Love
    1.2KViews

Tejaswini Sharma

Musafir hoon chalna chahti hoon"

  • Popular
  • Latest
  • Video
719367caf15e8a312f9b4e74d86894c7

Tejaswini Sharma

Bacha kar dao khelna hai
Sambhal kar paav rakhna hai
Yahan har taraf hai rukaawaatein
Sambhalkar tumhe use bhi to paar karna hai
Par kya karu ab thakaan hoti hai 
Jab karti hun lakhon minnatein
Par phir bhi sukoon milta nahi zehen mein....

©Tejaswini Sharma
  #kinaara
719367caf15e8a312f9b4e74d86894c7

Tejaswini Sharma

Kuch kam tha to bhi
Guzara kar liya karte the..
Kuch waqt tha to
Intezaaar bhi kar liya karte the..
Par ab kya kare?
Jahan ab umeed hi  baaki nahi...
Wahan ab basera  kaise banaaye
Chun chun ke khushiyan kaise batore
Aur intezaar kare bhi to kiska kare....
Ye Kambhakt waqt hi to saath nahi hai hamare...
Warna saach hum bhi saayad kuch jee liya karte .....

©Tejaswini Sharma
  #kinaara
719367caf15e8a312f9b4e74d86894c7

Tejaswini Sharma

Waqt ka takaza hi kuch
aisa hai
 jo cheez aapko 
behad pasand wo aapko
us waqt nahi milti
 aur jab milti
hai to phir uski koi keemat nahi hoti ..

Pata nahi yeh kambhakt waqt itna jaleel kyun karta hai
Har waqt takleef kyun deta hai
Jab chahiye hota hai pura aasmaan
wo to jameen bhi nahi baksta hai

Ya khuda reham kar
ye waqt bahut jaleel karta hai....

©Tejaswini Sharma
  #tootadil
719367caf15e8a312f9b4e74d86894c7

Tejaswini Sharma

War and Peace

War is destruction 
Peace is prosperity
As per the UN
This is the understandability

But let me know and
Keep me update about
Territorial Integrity
Food crisis 
Climate Crisis
Energy crisis and 
Environmental Degradability

Oh! These are the consequences of unmistakable opportunity of NATO and EU for restoring peace...

Sufferers are going to suffer but 
the World is in dire need of peace
Let the world rewind its course of time
To understand the consequences of tug of war for restoring peace.....

©Tejaswini Sharma
  #Tug of War

#Tug of War #News

719367caf15e8a312f9b4e74d86894c7

Tejaswini Sharma

Chand lamhon ka dard duniya badal deta hai...
Par kuch lamhon ki khusi
Jindagi  ki niyati nahi badal pati
Aisa kyun hota hai
Jab jeena mushkil hota hai
To hum kisiko samjha nahin pate humari taklif kya hai
Aur jab jeena khwaab hota hai
to woh muatsaar nahi hota
Kya yeh hamaari kami hai?
Khata hai?
Ya Sach hai
Jo hum mante nahi.....

©Tejaswini Sharma
  #Tug of war among the thought

#Tug of war among the thought #Life

719367caf15e8a312f9b4e74d86894c7

Tejaswini Sharma

Kisika Intezaar nahi....
Kisi ki fiqr nahi....
Wo jindagi hi kya
Jisme hausle ki udaan nahi...
Wo adhure sapne
Wo haseen afsane
Wo beparwaah hawayein
Jisme simti hai jindagi ke saare sapne
Jise chu lo bas to lagta hai
Jindagi jeeni hai bas
Is baat par koi do raay nahi ....

©Tejaswini Sharma
  #Chalachal
719367caf15e8a312f9b4e74d86894c7

Tejaswini Sharma

It's morning
and I am late
Can you tell me which way I should go
to make myself  absolutely perfect...

It's not a matter of once or twice a week;
It's matter of everyday,
Experiences piercing me everyday,
Needs perturbing me everyday,
Failures disheartening me everyday,

Can anyone just hold me once and tell
It's going to end someday ...

A mumbling voice is heard inside me
which tells
Yes! It's possible some day....

©Tejaswini Sharma
  #Life
719367caf15e8a312f9b4e74d86894c7

Tejaswini Sharma

Chalte Chalte Rukna aur
Rukte Rukte Chalna
Dono me utna hi farq hai
jitna ki
Haste Haste Rona aur
Rote Rote Hasna
Jindagi bhi kitni ajeeb cheez hai
Jab khushiyan milti hai to lagta hai koi badi cheez to nahi hai aur
Jab gam se nata jud jaaye to lagta hai
Isse badi koi saja hi nahi hai
Jindagi ka ehsaas hi kuch ajeeb hai...
Kabhi maloom hota hai kuch kami hai to
 kabhi aisa lagta hai kuch bacha hi nahi hai....

©Tejaswini Sharma
  #sadak
719367caf15e8a312f9b4e74d86894c7

Tejaswini Sharma

Sapno ki dhar

Waqt kam aur kam bahut hai
Har waqt tanav bahut hai

Jab humne socha ki thoda ruk jate hai
To dekha ki sab ki nazron me aah bahut hai

Kaise pure kare sapne 
Yahan to har taraf sawal bahut hai
Phir humne socha jab soch hi liya to rukna kyun hai
Aakhir humari sapno ki talwaar purani hi sahi
par isme abhi bhi dhar bahut hai....

©Tejaswini Sharma
  #Sapno ki dhar

#Sapno ki dhar

719367caf15e8a312f9b4e74d86894c7

Tejaswini Sharma

In present scenario,
the technology has attained such an advancement that anything is within the reach of present generation.

Then why is it  so that we can't improvise ourselves in
Innovation index
Happiness index
Gender Disparity Index
Corruption Index
Human Development Index
Environment Sustainability Index

I questioned myself a lot...
Then I realised
Because improvisation not lies in hyperpolation 
of data nor in ascertaining false claims but in raising our moral grounds and voice on various issues which should be for the public good that ascertain our unalienable rights as citizen..

 

 Is it true ?
Can we justify it now!

©Tejaswini Sharma
  #Just a question in mind...

#just a question in mind... #News

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile