Nojoto: Largest Storytelling Platform
anamikaa9204
  • 56Stories
  • 164Followers
  • 414Love
    1.6KViews

Anamikaa

shararati si ek pagal . zindagi ka har ek pal khul kar jeene ki koshish karo .aachi baat ho ya buri sab mein kuch aacha dekhne ki koshish karo nhi toh marte waqt iss baat ka afsos hoga ki zindagi toh thi hamare pass bas zindagi jeene ka sahi andaaz hi nhi aaya . dil mein aachaei toh honi hi chahiyee par itne bhi aache mat bano ki apki aachaei apki bewakufi lage . zindagi iss andaaz se jiyo ki marte waqt yehi khayal aaye ki yaar jitne bhi din the har din kuch naya sikhne ko mila aur har pal ko enjoy karke zindagi ko jiya 😊😊

  • Popular
  • Latest
  • Video
7254fdd2d38bc150fc17f0c5dd7a15ef

Anamikaa

#tumhidekhona patni ka dard

#tumhidekhona patni ka dard #Life

180 Views

7254fdd2d38bc150fc17f0c5dd7a15ef

Anamikaa

Patni ka dard 
Mujhe gusshe mein mere pati ne kaha ki mein unki casual typical wife hu. Bs ek pal mein apni friend ship tak todne ke liye ready hogaye. Kya galti thi meri. Yahi ki maine unko shikayat kari ki mere efforts ko aap appreciate nhi karte ho. Aur pichele  1.5 yrs se mujhe dard daite ho. Hai mujhe gifts se lagab. Kya karu mein. Chahati thi ki lok mere efforts ko samaj kar tarif kare. But har baar mein roti thi. Bcoz kisi ko mere efforts dikhte hi nhi hain. Itna bhi bada mera koi desire toh nhi tha. Ek choti si iccha thi jab woh bhi puri nhi hui toh dukhi hone ka hakh toh h na mujhe. Ya uska bhi hakh nhi h mujhe. Jaruri h kya ki har waqt mein khush rahu aur sabke hisab se chalu aur jo bhi mujhe feel ho samne aacha aacha bolu. Nhi laga aacha toh bol diya ki mujhe isse problem hai. Dukhi hoti hu mein apke iss bartab se bs. Usmein mujhse itna gussha kyu. Mein kya happy thi aur dushre ko sad kiya nhi na. Phir bhi sad hone ke baad bhi  apne pati ke dard ko samaj kar usko manane ki har koshish ki. Usko apni har feelings bataei. Mafi maanga. Request kiya ki samaj jayo. Joker ki tarah usko hasane ka har try kiya, waqt bhi diya ki woh samaj jaye. But jab subha usko uthane ke liye call kiya toh 2 baar usne mera call cut kar diya. Yaha meri khud ki self respect hurt hui. Phir bhi maine usko zara bhi iss baat ka ehsas hone nhi diya aur aache se baat ki. But baatoin mein bhi woh arrogant way mein behave karta raha aur mein manati gayi. At last uss raat tak bhi yahi hua aur woh mujh par bhadka. Mein dukhi hui aur chup hokar kaha ki subha utha dungi aur call rakh diya. Aur raha nhi gaya toh usko msg mein kaha ki jitna time laina hai le lo but ek baat soucho ki dukhi mein bhi thi phir bhi maine tumko manaya apne dard ko side mein rakh kar. Uska call dobara aaya and he said I am sorry. Bs sorry. 
Itna sab karne ke baad jo uska pyar mujhe milega ya jo sorry usne kaha. Uske efforts apna value kab ka kho chuke the. Kyu ki usko manate manate mein khud andar se tut gayi thi. Aab pyar mile ya gussha. Woh baat kare ya nhi. Mujhe apni friend samjhe ya just a typical casual wife. Koi pharak nhi padta mujhe. 
Moral - insan ki value waqt rehte samaj lai ni chahiye. Kyu ki dard sehte sehte agar insan andar se tut jaye toh phir aacha karo uske sath ya bura koi pharak nhi padta usko . Kyu ki woh andar se tut chuka hota h. Aur tute hue insan ko dard mile ya khushi. Usko koi ehsas hota hi kaha h 🙏🙏

©Anamikaa 
  #Preying patni ka dard 
## life experience
## sadness

Preying patni ka dard ## life experience ## sadness

117 Views

7254fdd2d38bc150fc17f0c5dd7a15ef

Anamikaa

### shayeri for a special person

### shayeri for a special person

36 Views

7254fdd2d38bc150fc17f0c5dd7a15ef

Anamikaa

Dur hokar bhi pass ho mere tum . 
Mujhse juda  hokar bhi sath ho tum. 
Tumse hai meri zindagi ke haseen lamhe sayad tumko yeh ehsas nhi. Par mere bina tumhari zindagi jaise ban jayegi bin diya ke baati. Tum ho rocket toh mein hu tumhari khali bottle, jiske bina rocket jal toh jayegi par uddan kabhi le na payegi. 
Tumko sayad nhi h iss baat ka ehsas ki mujhse hai tumhari har ek khushi judi huyi jaise petrol ke bina na chal payegi koi gaadi. 
Ladte ho mujhse tum bahut,  rulate bhi ho mujhe  tum bahut, daante ho mujhe bahut aur mujhse ruthte bhi ho tum bahut.  Kaisa hai yeh rishta jismein chalti rehti hai hamari nok jhok jaise ban ke samne aa jaye koi khatti meethi jhol. 
Tumhe sayed yeh nhi hai pata ke mere bina tum reh nhi payoge sukun se ek pal kyu ki mein hoon tumhari juicer aur tum ho mere phal

©Anamikaa shayeri to a special person
#ShubhDeepawali

shayeri to a special person #ShubhDeepawali #Love

9 Love

7254fdd2d38bc150fc17f0c5dd7a15ef

Anamikaa

## shayeri

## shayeri

106 Views

7254fdd2d38bc150fc17f0c5dd7a15ef

Anamikaa

Dil karta hai apko  dekhte rehne ka .
Ek baar nhi balki baar baar dekhte rehne ka .
Ek ghanta nhi , hazaron ghanta  dekhte rehne ka .
Hai yeh pal bahut khubsurat mere liye .
Kyu ki banegi yeh aaj ke pal kal ke khubsurat yaadein .
Pta nhi ki hai kitne pal hamare pass aur par yeh pal tha itna khas ki rahega yaad hamein saalo saal .
Na roka karo humko , apko dekhne se .
Kyu ki milti hai humein woh khushi jo hai bahut anmol .
Hai yeh yaadein meri zindagi ke bahut khas .
Kyu ki hain yeh pal sirf aur sirf apke sath .

11 Love

7254fdd2d38bc150fc17f0c5dd7a15ef

Anamikaa

## beete hue pal

## beete hue pal

106 Views

7254fdd2d38bc150fc17f0c5dd7a15ef

Anamikaa

Beete Hue Pal 
Yaadoin ke samandar mein hoti h hazaron moti . Kuch ankahe toh kuch unsune . Jab bhi yaad aate hain woh beete hue pal toh aankho se chalakti hai un yaadoin ki jhalak .
Kya kahu mein un beete hue palo ke baare mein kyu ki jab bhi yaad aate hain woh pal toh dil karta bas lagalu gale un palo ko aur le lu khusboo un meethi yaadoin ki .
Pata h ki hai yeh namumkin . Beete hue lamho ko phir se jeena h bahut mushkil .
Rehe gayi h woh bas banke yaadein kuch meethi toh kuch khathi bankar .
Phir bhi dil h mera nasamaj ki yaad kar ke un dino ko ro padta h toh kabhi meethi yaadoin ki wajas se khushi se jhum uthta h . 
Janti hu ki hain yeh baatein beeti hui .malum h mujhe ki guzare hue pal kabhi laut kar nhi aate .
Par aaj ke lamhe kal ke afsane  bante jarur  hain .phir se aaj ki baatoin ko hum saalo saal yaad karke haste ya  rote jarur hain.
Badi ajeeb si baatein hain in yaadoin ki .  kyu ki aachi yaadoin ko yaad karke dil ro padta h toh wahi khathi yaadoin ke baare mein souch kar khud pe hasne ka dil karta hai .
Hain yeh yaadein  meri zindagi ka ek khas hissa jisse yaad karke kabhi dil jhoom uthta h toh kabhi ro padta h . ## beete hue pal

## beete hue pal

8 Love

7254fdd2d38bc150fc17f0c5dd7a15ef

Anamikaa

Beete Hue Pal 
Yaadoin ke samandar mein hoti h hazaron moti . Kuch ankahe toh kuch unsune . Jab bhi yaad aate hain woh beete hue pal toh aankho se chalakti hai un yaadoin ki jhalak .
Kya kahu mein un beete hue palo ke baare mein kyu ki jab bhi yaad aate hain woh pal toh dil karta bas lagalu gale un palo ko aur le lu khusboo un meethi yaadoin ki .
Pata h ki hai yeh namumkin . Beete hue lamho ko phir se jeena h bahut mushkil .
Rehe gayi h woh bas banke yaadein kuch meethi toh kuch khathi bankar .
Phir bhi dil h mera nasamaj ki yaad kar ke un dino ko ro padta h toh kabhi meethi yaadoin ki wajas se khushi se jhum uthta h . 
Janti hu ki hain yeh baatein beeti hui .malum h mujhe ki guzare hue pal kabhi laut kar nhi aate .
Par aaj ke lamhe kal ke afsane  bante jarur  hain .phir se aaj ki baatoin ko hum saalo saal yaad karke haste ya  rote jarur hain.
Badi ajeeb si baatein hain in yaadoin ki .  kyu ki aachi yaadoin ko yaad karke dil ro padta h toh wahi khathi yaadoin ke baare mein souch kar khud pe hasne ka dil karta hai .
Hain yeh yaadein  meri zindagi ka ek khas hissa jisse yaad karke kabhi dil jhoom uthta h toh kabhi ro padta h . ## beete hue pal

## beete hue pal

11 Love

7254fdd2d38bc150fc17f0c5dd7a15ef

Anamikaa

## zindagi 
## aanamika ki zubani

## zindagi ## aanamika ki zubani

274 Views

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile