Nojoto: Largest Storytelling Platform
sayedtahasir7524
  • 179Stories
  • 127Followers
  • 1.7KLove
    635Views

Meer Allahabadi

I am a teacher by profession and philosopher by passion I write poems particularly in urdu with a pet name Meer Allahabadi.

  • Popular
  • Latest
  • Video
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Tafseel kya likhon qissa mahdood hai bahut.
haan wo mujhe mahboob hai bahut.

Rahbar hai mera wo mujhse pyaar karta hai.
agar-che zamane se maukoof hai bahut.

Mujhse na poocho had ehsaas ki magar.
wo tamaam tar sheh se marghoob hai bahut.

Wo duniya se bada azeeztar hai mujhe.
dil uske liye mera mazoor hai bahut.

Ilm hai use mere jazbaaton ka ae meer.
wo mere liye rab ka mashkoor hai bahut.

Rahmat hai sarapa rahmat hai uski zaat.
wo mere marhalon me mansoor hai bahut.

©Meer Allahabadi #short_shyari
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Kahne ko kai rishte hai apne bhi duniya me.
dekhon agar mujhe to shaad nazar aate hai.

Hamdard to nazar aate hai ba-zaahir me sabhi.
mauke par khade bas ek aad nazar aate hai.

Aafiyat ki umeed karoon agar bhi to kinse.
jo badan me misle mawaad nazar aate hai.

Milte hai jo mahfil me bade ikhlaaq se aaj.
neeyat me nifaaq-o-mafaad nazar aate hai.

Shaf-faaq libaas aala khushboo zewar zeb-e-tan.
kalaam kare to ba-khuda ajdaad nazar aate hai.

Dhoka na khana inke zahir se tum ae meer.
ye mehaz apni duniya me abaad nazar aate hai.

©Meer Allahabadi #good_evening_images
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Umeed kya kare ke toot jaati hai.
Bila wajah hi qismat rooth jati hai.

Koi bataye mujhe akhir kya hai mera kasoor.
Main haath badhata hoon sabeele chooth jati hai.

Badi mushkil se bacha rakhi hai yaad seene me.
Wo ek nazar mere dafeene loot jati hai
 
Ehsaas jo baqi hai dil me ab abhi mere liye.
Ghubaar to uthta hai agar-che ghoont jati hai.

Riha karoge kab mujhe is zindaan se aakhir tum.
Barso ho gaye meri zabaan suqoot chahti hai.

Umr bhar jiye isi kashmakash me hum.
Wo mujhse apne kaun se huqooq chahti hai.

©Meer Allahabadi #rajdhani_night
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Hum jinki sarparasti me parwaaz chadhte hai.
jinka wajood-e-aqdas sarapa karam hota hai.
baap ghar ke liye bada aham hota hai.

Zulm samajhte hai unki tarbiyat ko hum aulaad.
zehno me aqsar yahi waham hota hai.
baap ghar ke liye bada aham hota hai.

Thakta hai marta hai kya kuch na karta hai.
mujahid hai wo jisme kibr adam hota hai.
baap ghar ke liye bada aham hota hai.

Ameer ho ya ghareeb maalik ho ya ghulaam.
uske hi dum se ye kunba haram hota hai.
baap ghar ke liye bada aham hota hai.

Hath ho agar sir pe to khidmat kar lo meer.
baad me mehaz nadamat sir kham hota hai.
baap ghar ke liye bada aham hota hai.

©Meer Allahabadi #fathers_day
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Jate hue apni yaaden bhi leta ja.
kuch din hi sahi sukoon se guzrega.

Ilm tha hume ye din bhi dekhenge.
pata na tha itna shadeed guzrega. 

Aas liye baitha hoon raahon me aaj bhi.
wo ek din zaroor is or se guzrega.

Wo kahin main kahin mutmain baithe hai.
jo ishq tha darmiyan kabhi to ubhrega.

Waqt guzar gaya aur log bhi magar.
muntazir hoon aaj bhi mera koi to guzrega.

Dil bahlane ko ye khayaal bhi achha hai.
aaj din bura to kya bhala bhi guzrega.

©Meer Allahabadi #love_shayari
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

White Suno to main kya kahna chahta hoon.
bas kuch waqt tere saath rahna chahta hoon.

Ijazat ho agar to badh kar bosa loon tera.
manind aab-e-chashm musalsal bahna chahta hoon.

Khair ho meri agar jo poocho mera haal.
main apni daastan tumhi se kahna chahta hoon.

Takleef jo mili miqdaar me kam thi bahut.
abhi tu aur zulm kar ke main sahna chahta hoon.

Tanha chal raha hoon muddat se is safar me.
dawam hai lutf-e-khalwat isi me rahna chahat hoon.

Mujhe nahi fiqr mere anjaam ki magar.
ye teri raza ka zauq main badalna chahta hoon.

Meri umr guzar gayi aqqasi ke shauq me.
main ab mere mayaar me dhalna chahta hoon.

Hisaar hai mujh par teri yaadon ka magar ae meer.
main ab is qaid se bahar nikalna chahta hoon.

©Meer Allahabadi #Emotional
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

Dekha jo mud kar apne maazi ki taraf.
mujhko mera qatil saaf nazar aata hai.

Log kahte rahe ke tha kasoor mera.
wo jinhe mujhme inhiraaf nazar aata hai.

Saza mili bhi agar to us jurm ki mujhe.
jis par sare mahfil tera aeteraaf nazar aata hai.

Kyun poochte ho mujhse mera haal sitamgar.
tum par to wazeh inkeshaaf nazar aata hai.

Jaraim ilm ho mujhe ya na bhi ho magar.
wo khain bhi ho to muaf nazar aata hai. 

Tum us par daagh lagate ho behayayi ka ae meer.
wo jo ba-qirdaar bada shaffaaf nazar aata hai.

©Meer Allahabadi #sadak
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

Khamosh hoon zamane se bol nahi sakta.
main khoon alood dareeche khol nahi sakta. 

Mumkin hai tumhe muaf kar doon kabhi.
tere diye zakhmon ko bhool nahi sakta.

Aajiz aa gaya hoon is qaid se magar.
main chahoon bhi to girha khol nahi sakta.

Mana ke ye mujhe takleef deti hai.
haan teri yaadon ko bhool nahi sakta.

Mil jaye kabhi safar me ittefaqan wo mujhe.
hasraten laakh sahi main bahen khol nahi sakta.

Dil me jo hain wo zindagi me na sahi.
fir achha ho ya bura unhe bhool nahi sakta.

©Meer Allahabadi
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

Zindagi ek safar guzar jaye to kya.
chalte chalte nazar thehar jaye to kya.

Muddat se talaash me firta hoon dar-ba-dar.
thak kar jo baithoon wo mil jaye to kya.

Umeed karna chodon bhi to kaise chodon main.
taqdeer ka waraq hai palat jaye to kya. 

Mangoon tumhe kaise main khud ke liye meer.
main khaak hoon wo falaq taras jaye to kya.

Khamosh dua karoon main khaliq se raat bhar.
hum par bhi ye bahaar baras jaye to kya. 

Izhaar kare tumse ya na kare abhi.
isi kash ma kash ke chalte mar jaye to kya.

Thaam lo hume ke thak chuka hoon ab.
isi aas me sambhal kar gir jaye to kya. 

Qismat ko hum par kuch aaya hai raham.
ek tumhare ewaz mera  sab lut jaye to kya.

©Meer Allahabadi #happypromiseday
94bb6eb177f6edf5b3360d829dd19de5

Meer Allahabadi

Zakhmi badan shikasta dil pairon me pade chale hai.
Taareeki me dooba hoon muddat se khwabon me faqat ujaale hai.

Talaasha jo humne sabab is haal-e-behisi ka.
pata chala ke mauqe par pade labon pe taale hai. 

Firte hai khoon ke pyase ye apne azeez log.
ye kisne do dilon me hasad ke rakhne daale hai.

Surkhuro the kabhi jahan me jis imaan ke chalte hum.
Imkaan na tha ke rugardaan yahi log halaqat wale hai.

©Meer Allahabadi
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile