Nojoto: Largest Storytelling Platform
atahaidar4689
  • 9Stories
  • 403Followers
  • 95Love
    40Views

Ata Haidar

kya kahu me Ata ke bare me 100 se badd he to char se acha

  • Popular
  • Latest
  • Video
9ed17c8363ed4ab1fb4f26e9c9fbded3

Ata Haidar

Jo shor meri khamoshi ke intekhab me he

Jo shor meri khamoshi ke intekhab me he #Shayari

9ed17c8363ed4ab1fb4f26e9c9fbded3

Ata Haidar

KHUDA TUJHSE dua he Baap ka saya salamat ho
Saro par sare Beto ke ye shafqat ki Imarat ho
Dua he Betiyon ke haq me likhkhi ye mohabbat Ho
KHUDAYA TERI janib se Ata sabko Hidayat ho

Jo Ghaflat me padhe he unke Haq me bhi Sada Sunle
Na Uff Tak ham kahe Maa baap se ye Bhi Dua Sunle
 (✍️Ata Haidar)

©Ata Haidar #FathersDay
9ed17c8363ed4ab1fb4f26e9c9fbded3

Ata Haidar

1.Soya nahi muddat se sulane ke liye aa
Ae maut tu aram dilane ke liye aa

2.Tu to bade aram se sab bhul gya he
Me kese tujhe bhuloo batane ke liye aa

3.Hamne ye suna tha ke tu hassas Bht he
Ansu meri halat pa bahane ke liye aa

4.Jo teri nigahon ne banaye mere dil par
Wo naqshe tamanna hi mitane ke liye aa

5.Har bar tuhi tarke ta'alluq ka sabab he
Is baar Ta'alluq ko banane ke liye aa

6.Ye teri judai meri khamosh qaza he
Ek mayyate ghamkhar uthane ke liye aa

7.Halaat se lachar ana se bhi hu majboor
Kis muh se kahu mujhko manane ke lye aa

8.Jo zakhm badan pa the sabhi bhar se gye he
Ab daag koi dil pe lagane ke liye aa

9.Me sach hi kahunga sare darbar "ata" hu
Diwana hu ilzam lagane ke liye aa

©Ata Haidar #Lights
9ed17c8363ed4ab1fb4f26e9c9fbded3

Ata Haidar

Hatho me jab tak Sardari rehti he
samjho zinda rishtedari rehti he

lams tera Hasil he Hame khwabo ke tufel
sote he to Shabbedari rehti he
             
                                     (✍️Ata Naqvi) #flyhigh
9ed17c8363ed4ab1fb4f26e9c9fbded3

Ata Haidar

Chehre ki hasi ke piche ek dard ka dariya behta he

Ankhe he jagi barso se meri
Ab ankho me wo nind kaha
Ek pal ko agr so jata hu
Phir khwab wahi ajate he 
Phir fikre jaga deti he mujhe 
Wo bachpan wali nind kaha
Wo maa ki godd me sar rakh kar
Har fikr dhuaa ho jati thi
Me chain se so to jata tha
Ab me hu or ye fikre he 
Fikro se or tute khwabo se
Ab mera gehra naata he

Chehre ki hasi ke piche ek dard ka dariya behta he
9ed17c8363ed4ab1fb4f26e9c9fbded3

Ata Haidar

Roz pasti me utar jata he khaamoshi se
Kitna ghamnak he suraj ka safar sham ke baad

                                (✍️Ata Haidar Naqvi) #HopeMessage
9ed17c8363ed4ab1fb4f26e9c9fbded3

Ata Haidar

Dekh ke Dushman Hasta he wo lakho he me Tanha hu

Me Tanha Lakho ke liye ek Lashkar hone wala hu #darkness
9ed17c8363ed4ab1fb4f26e9c9fbded3

Ata Haidar

Saya uska jidhar gya hoga
wo ilaqa nikhar gya hoga

Usko manzil se koi pyaar na tha
Rasta paa kar thehar gya hoga

mere aane ki ek aahat par 
dekhlo wo sanwar gya hoga

(✍️Ata Haidar Naqvi)

9ed17c8363ed4ab1fb4f26e9c9fbded3

Ata Haidar

Sans jati he to aajati he foran bahar

Meri tabiyat me hawa ko bhi ghutan hoti he

✍️Ata Naqvi deepshi bhadauria  Suman Zaniyan Mr Sachin Ahir Dr Imran Hassan Barbhuiya

deepshi bhadauria Suman Zaniyan Mr Sachin Ahir Dr Imran Hassan Barbhuiya


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile