Nojoto: Largest Storytelling Platform
ishra2813328315344
  • 32Stories
  • 17Followers
  • 434Love
    82Views

Tanya gupta

oblivious.....😇

  • Popular
  • Latest
  • Repost
  • Video
a324837be87b744b71c74c48d5e08dc2

Tanya gupta

White Pata nahi kyu aj teri bahut zarurat hai 
aa jao na ek hawa ka jhonka bankar 

pas baithkar kuch bate karte hai, 
kuch pareshaniya baant lete hai .
aa jaye jo nami kisi ki ankhon me ,
un keemati motiyon ko sanjo kar ,
phir se khulkar thoda has lete hai .

dhunti hai ye najre tujhe har pahar.
aa jao na ek hava ka jhonka bankar.

tujhe kareeb se mahsus karna hai,
teri ankhon me bas kho jana hai .
tere bina tujhse hi bate karna hai,
sayad yahi tere hone ka ayat hai.
ab in band ankhon ko kholna hai..

aur inhe kholte hi ho jaye tera didar
aa jao na ek hava ka jhonka bankar..

©Tanya gupta #zarurat
a324837be87b744b71c74c48d5e08dc2

Tanya gupta

White kuch aisa nata hai tere mere darmiyaan ,
bayan karti hai ankhon ki ye khamoshiyan

dilon ke ye jajbat lafzon se kahin hai pare,
ankhon me jhalakte hai khwabon ke vo silsile.
inme chhupaye rakhe hai kayi kisse purane,
khule asmano me gujate hai banke ye tarane.

bhar ati hai inme kuch yadon ki siskiyaan,
bayan karti hai ankhon ki ye khamoshiyan 

mai na janu tu sach hai ya koi chhalavan,
ban gya hai in sapno me apna ek karvan. 
badhti hai har pal bechaini tujhe janne ki,
 aur samne baithkar tujhe ektak niharne ki.

in faslon me bi hai ahsaso ki najdikiyan,
kuch aisa nata hai tere mere darmiyaan.

©Tanya gupta #Darmiyaan 
#love_shayari
a324837be87b744b71c74c48d5e08dc2

Tanya gupta

White Gungunate galiyon se jab gujre ye hava 
dil ko mere ek ankahe ahsaas ne chhuaa

hava banke udna chahun in rahon me ,
khushbu banke maheku in fizaaon me,
chidiya banke chaheku sari dishaon me,
jhum lu madmast hoke apni adaon me,

har ek jhonka lage man ko ruaan ruaan 
 dil ko mere ek anjahe ahsaas ne chhuaa

rah jate hai yad banke in lamho ke nishan, 
kuch pal ke liye ate hai ye banke mehman,
chadh raha hai surur in havaon ka parvaan,
 in khubsurat ahsaso me jeena hua asaan,

 kholi jab band ankhe to lamhe hue dhuaan
phir gungunate galiyon se jab gujre ye hava..

©Tanya gupta
  #hava ka jhoka

#hava ka jhoka #Poetry

a324837be87b744b71c74c48d5e08dc2

Tanya gupta

White Chal akele tay krna hai ye safar,
jeena hua muskil ab har pahar..

khwahishen abi kuch aur hai,
sapne bi hue kuch chur hai, 
manjile abi bhut door hai, 
raste bi to sab magroor hai, 
ghoot bhar me pina hai ye jahar
jeena hua muskil ab har pahar.. 

chal ! akele tay krna hai tujhe ye safar ..

©Tanya gupta # tanha safar 
#Tulips

# tanha safar #Tulips #Poetry

a324837be87b744b71c74c48d5e08dc2

Tanya gupta

White  Bujhati ja rahi hai man ki har ek vo aas
sayad hi kuch bacha ho jo rah gya pass

badle se lag rahe the halat par ,
sabkuch to vaise ka vaisa hi haii.
jo samne ubhar raha hai aaj akar ,
yahi to thi meri zindagi ki hakikat .
sabkuch jankar bi kyuu ye man hai udaas
sayad hi kuch bacha ho jo rah gaya pass..

vaqt ka marham bhar dega har ghav,
ek mod ayega aisa jo layega badlav..
pal rakhe the man me aise bi vaham,
tootane lgege kabhi ye sare bharam..
nahi tha kabhi mere man ko iska koi ahsas
sayad hi kuch bacha ho jo rah gaya pass ...

 bujhati ja rahi hai man ki har ek vo aas..

©Tanya gupta # kuch bharam

# kuch bharam #Poetry

a324837be87b744b71c74c48d5e08dc2

Tanya gupta

Chamak chandani bichhi hui hai aj charo or , 
niharu us chand ko baithkar mai jaise chakor

In tej havao ka har jhoka kar rha hai bechain ,
badla badla sa hai kuch inka rukh aaj ki rain..
in ujali ujali raton me chalti hai jab ye havaye ,
man karta hai sath chalu inke jaha khi le jaye.

chale jab jab ye purvayi dil me machta hai shor..
aur chamak chandani bichhi hui hai aj charo or..

asman me kale kale badal chhaye hai ghanghor ,
aur usme ujle chand ko dekh ho gayi bhavvibhor..
kya karu ye man ata hi nahi aaj mere vash me, 
jana hai in havao ke piche aj jane kis talash me..

man kahe faili is chandani ka kan kan lu mai bator,
aur niharu us chand ko baithkar mai jaise chakor ..

©Tanya gupta # chamak chandani

# chamak chandani #Poetry

a324837be87b744b71c74c48d5e08dc2

Tanya gupta

Ab Itna bhi mashroof  na raha karo
kuch vaqt khud ke sath bi gujara karo 

ye duniya mahaj ek chhalavan hai 
yahan log bhul jate hai lakhon khubiyan,
mashroof hote hai talashne me kamiyan.
karni hogi khud se khud ko samajhne ki asha,
yahi to hai bas sukoon se jine ki paribhasha.

dur hokar iss chhalave ki duniya se kabhi, 
khud ko bi ankhe band karke nihara karo !
kuch vaqt khud ke sath bi gujara karo..

ye zindagi ka safar bada suhana hai
ek din bharkar apne sapno ki udaan,
jeetkar muththi me karna hai asmaan.
mat dekho khud ko dusron ki najron se,
chamako jaise phli kiran in andheron me.

pahchan kar apni kabiliyat ke gahno se,
kabhi khud ko raj - raj ke sanvara karo !
kuch vaqt khud ke sath bi gujara karo..

©Tanya gupta # self love

# self love #Poetry

a324837be87b744b71c74c48d5e08dc2

Tanya gupta

Year end 2023 Vaqt teji se karvate badal rha hai ,
har lamha apni chal se dhal rha hai

kuch pane k liye aj k palo ko kyu gavana,
kya pta jise pane k liye gava rhe ye vaqt 
kal vo rahe na rahe......
jo aj hai jo pas hai ji lo uske sath sare pal,
kya pta kal vaqt hi na mile......
ye zindagi to aj me jine ka naam hai,
har koi yaha kuch pane me gumnam hai
rukta nahi hai vaqt ye bas chal rha hai 
har lamha apni chal se dhal rha hai ....

beete hue vaqt me,
kuch kho gya to kuch mil gya,
kuch chhut gya to kuch hath me aa gya ,
kuch ham sikh gye kuch hamne sikha diya,
kuch pura ho gya kuch abhi adhura rah gya,
rone me,hasne me, gane me,ruthne -manane me
jo in sabme sath rahe hai jo kal the aur aj bi hai,
tham kar unka hath phir chale ham ,
ek karvaan bnane asman k tale ham..
dhero khushiyan liye ye vaqt machal rha hai
har lamha yha apni chal se dhal rha hai....

©Tanya gupta # zindagi aj me jine ka nam hai ..

# zindagi aj me jine ka nam hai .. #Poetry

a324837be87b744b71c74c48d5e08dc2

Tanya gupta

Ubhar rha hai in ankho se tootate sapno ka pitara
jab jab dekha is duniya me zindagi ka asli najara 

afsos ! ki apne hi sapno k jaal me fas gyii,
tabhi to is duniya ki asliyat samajh na payi..
band ankho k piche ek alag hi thi duniya ki tasveer,
hairan hu hoke rubaru khuli ankho se duniya ki taseer.
ab sathi shabd ka matlab hi lgta hai nakara...
jab jab dekha is duniya me zindagi ka asli najara 

bhut dard hai in andekhe jakhmo me ,
marham ki ummeed krna lagta hai gunah.
sach khte hai ki is duniya me log
akele ate hai aur akele hi jate hai,
kash ! yha akele rahna bi sikh ke ate ,
to aj zarurat nii hoti kisi sathi ki panaah.
sayad kuch to asan ho jata yha zindagi ka gujara..
ubhar rha hai in ankho se tootate sapno ka pitara..

©Tanya gupta # hakiqat zindagi ki

# hakiqat zindagi ki #Poetry

a324837be87b744b71c74c48d5e08dc2

Tanya gupta

Ye ahsas bhi kitna hai anjaan..
iss chahat ko ham kya naam de??
kab se adhuri si hai ek dastaan 
aaja milkar use aj anjaam de..!

tum meri dhalti sham ka andaaj ho,
tum mere ugate suraj ka agaaz ho,
tum in chamakti ankhon ka raaj ho,
tum dil ki gahrai me gunjati avaj ho,
bankar ek duje ke liye  pasbaan..
aaja zindagi ko pura ayaam de..! 

kab se adhuri si hai ek dastaan..
aaja milkar use aj anjaam de..!

tere liye har jakhm ki marham ban jau,
tere liye ek khubsurat si shaam ban jau,
teri khushnuma subah ki yaam ban jau,
teri sachchi khushiyon ka aalam ban jau,
yun hi lekar khushiyon ka karvaan..
apne in khwabon ko ahatraam de..!

kab se adhuri si hai ek dastaan.. 
aaja milkar use aj anjaam de..!

©Tanya gupta # anjaam de

# anjaam de #Poetry

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile