Nojoto: Largest Storytelling Platform
priyanshumodi7850
  • 9Stories
  • 24Followers
  • 26Love
    0Views

Priyanshu Modi

  • Popular
  • Latest
  • Video
c112d3c6cbdd2cda0160924b1cf8d5d7

Priyanshu Modi

Mai kehdu ki mita dunga saari ye doori,
Mai kehdu ki tum ho buss sabse zaruri,
Mai kehdu ki tum meri zindagi ho poori,
Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho?

Ye kehna ki tumhari talap hai is dil ko,
Ye kehna mai samandar aur tum sahil ho,
Ye kehna ki tum raah ho meri manzil ko,
Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho?

Mai kehdu toh guzar jaaye zamana ye saara,
Par phir bhi na ho pura zikr tumhara,
Mai kehne ko kehdu alfaaz har zubaan mein,
Dikhti ho mujhe tum dua mein, khuda mein,
Mai kehne ko kehdu ki sab Kuch tum hi ho,
Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho?

Wo ladaiya wo jhagde, wo betuke se masle,
Phir deti thi maafi jo tum halka sa haske,
Aur roothti jo thi tum kabhi aag si jalke,
Mai sunata tha kahaniya kitaabo se padhke,
Mai kehdu aaj phirse, kahaniya wo saari,
Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho?

Lehro ki sadao se uncha mai kehdu,
Dhadkano ko, saanso ko chup mai karakar
Mai kehdu samay se bhi aage nikalkar,
Mai kehdu bina apne labso ko khole.
Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho? Mai kehdu ki mita dunga saari ye doori,
Mai kehdu ki tum ho buss sabse zaruri,
Mai kehdu ki tum meri zindagi ho poori,
Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho?

Ye kehna ki tumhari talap hai is dil ko,
Ye kehna mai samandar aur tum sahil ho,
Ye kehna ki tum raah ho meri manzil ko,

Mai kehdu ki mita dunga saari ye doori, Mai kehdu ki tum ho buss sabse zaruri, Mai kehdu ki tum meri zindagi ho poori, Mai kehdu par kya tum kuch sun bhi rahi ho? Ye kehna ki tumhari talap hai is dil ko, Ye kehna mai samandar aur tum sahil ho, Ye kehna ki tum raah ho meri manzil ko, #RDV19

3 Love

c112d3c6cbdd2cda0160924b1cf8d5d7

Priyanshu Modi

जीत की खबरों को सुनकर मिल रहा सुकून है,
फिर चली गोली सरहद पर बह रहा फिर खून है।

इस पार हिंदुस्तान तो उस पार पाकिस्तान है,
मर रहा इस पार भी उस पार भी इंसान है,
गोलियों की गूँज से फिर गूंजा सारा देश है,
पर जवानो के ही घर क्यों आज भी सुनसान हैं।

लाल दिखता है यहाँ, तो लाल ही वहाँ खून है।
फिर चली गोली सरहद पर बह रहा फिर खून है।

उस बाप को भी देखलो फिर जिसकी वो संतान है,
जो अपने ही बेटे को लेकर जा रहा शमशान है,
उसकी आँखों का समंदर भी कभी थमा नहीं,
आज तिरंगे में लिपटी क्युकी उसकी जान है।

बेटे के लहू से रंगी बाप की पतलून है,
फिर चली गोली सरहद पर बह रहा फिर खून है।

आँख में आंसू भरे काँधे पर अपनी रूह लिए,
चल रहा काँधे पे वो वतन की आबरू लिए,
जो हो नहीं पायी थी पूरी जंग से पहले कई, 
उसका बेटा है खड़ा अधूरी गुफ्तगू लिए।

चुप्पी साधे है खड़ा जो मिजाज़ से बातून है,
फिर चली गोली सरहद पर बह रहा फिर खून है।

भारी है मन दिल भी उसका काफी टुकड़ो में टूटा है,
लगता है भाई का हाथ, हाथ से उसके छूटा है,
कौन करेगा प्यार उसे अब कौन करे रक्षा उसकी, 
सरहद पर राखी का बंधन देखो फिरसे टूटा है।

कहा बांधे राखी अब, कलाई पर ही खून है,
फिर चली गोली सरहद पर बह रहा फिर खून है।

जल रहा है दिल उसका घर बना मसान है,
आंसुओ का ले रही जैसे वो इम्तेहान है,
इस तिरंगे के ही खातिर तोड़ दी हैं चूड़ियां,
हो गयी विधवा वो फिर भी चेहरे पर मुस्कान है।

लाल मेहँदी से भरे उस पत्नी के नाखून हैं,
फिर चली गोली सरहद पर बह रहा फिर खून है।


Priyanshu Modi जीत की खबरों को सुनकर मिल रहा सुकून है,
फिर चली गोली सरहद पर बह रहा फिर खून है।

इस पार हिंदुस्तान तो उस पार पाकिस्तान है,
मर रहा इस पार भी उस पार भी इंसान है,
गोलियों की गूँज से फिर गूंजा सारा देश है,
पर जवानो के ही घर क्यों आज भी सुनसान हैं।

जीत की खबरों को सुनकर मिल रहा सुकून है, फिर चली गोली सरहद पर बह रहा फिर खून है। इस पार हिंदुस्तान तो उस पार पाकिस्तान है, मर रहा इस पार भी उस पार भी इंसान है, गोलियों की गूँज से फिर गूंजा सारा देश है, पर जवानो के ही घर क्यों आज भी सुनसान हैं। #RDV19

2 Love

c112d3c6cbdd2cda0160924b1cf8d5d7

Priyanshu Modi

Pichle chaar din ki saari sharaab maang rahi hai,

Aaj phir zindagi hisaab maang rahi hai.


Mere aankho ki galiyo se aab maang rahi hai,

raato se mere saare khwaab maang rahi hai,

Kya khoya kya paaya pichle kuch dino mein,

aaj phir zindagi hisaab maang rahi hai. #RDV19

4 Love

c112d3c6cbdd2cda0160924b1cf8d5d7

Priyanshu Modi

Darwaaze par khadi hai zindagi hamari,

tum jaao toh darwaaza band karte jaana. #RDV19

2 Love

c112d3c6cbdd2cda0160924b1cf8d5d7

Priyanshu Modi

Us Ojhal hoti roshni aur neeli syaahi se

 lipti dilli ki shaam mein, kuch khushi aur

 kuch mayoosi se lipte chehro ke beech mein 

us roz phir kisine apna bachpana kho diya.

(Full story in caption) Ojhal hoti roshni aur neeli syaahi se lipti wo dilli ki shaam, jisme February ki tharthara dene wali thand thi aur office se ghar jaane wali gaadiyo ka shor, jisme kabhi jalte toh kabhi bujh jaane wale peele streetbulbs ki roshni thi toh kahi 6 baje hone wala ghana andhera tha, wo dilli ki shaam, kuch chand logo ki khushi ke badle kayi mayoos chehro ka gham uthati wo dilli ki shaam. 
Unhi kuch khush logo mein se ek tha, chandni ka parivaar, aur un sab se zyada khush thi chandni, kyuki pure saal

Ojhal hoti roshni aur neeli syaahi se lipti wo dilli ki shaam, jisme February ki tharthara dene wali thand thi aur office se ghar jaane wali gaadiyo ka shor, jisme kabhi jalte toh kabhi bujh jaane wale peele streetbulbs ki roshni thi toh kahi 6 baje hone wala ghana andhera tha, wo dilli ki shaam, kuch chand logo ki khushi ke badle kayi mayoos chehro ka gham uthati wo dilli ki shaam. Unhi kuch khush logo mein se ek tha, chandni ka parivaar, aur un sab se zyada khush thi chandni, kyuki pure saal #RDV19

4 Love

c112d3c6cbdd2cda0160924b1cf8d5d7

Priyanshu Modi

Kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine laal barf dekhi hai; kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine tirange ke safed rang ko laal banta dekha hai.

Jab hum yahan apni zindagi mein maujood aadhi adhoori khushiyo mein doobe rehte hain
, kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine apne se aadhi umar ke ladke ko apne hi gharwalo ko barf mein dafn karte dekha hai. Maine dekha hai use cheekhte, chillate, ye puchte hue ki na toh uske ghar walo ke haath mein bandook thi, na hi unke hotho par batware ke bol, toh phir raat ko chalne wali goliyan unhi ke ghar mein kyu aa gayi. Ki ab us ladke ko koi fark nahi padta ki kashmir ab Hindustan ka hota hai ya Pakistan ka, use fark padta hai na toh buss apne gharwalo se, use chahiye toh buss uske apne jo ab barf ke ho chuke hain.

Kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki ab na toh use khuda chahiye, na kashmir, na hi khwaab na kitaabe na bandooke, use chahiye toh buss apna bachpan jise wo pichli raat ki thand aur andhere tale apni mulayam kalaiyo se barf mein dafn kar chuka hai, use chahiye toh buss apni ammi jiske haath ka khana abhi usne bhar pet khaya bhi nahi hai, use chahiye tohq buss apne abbu jinke saath wo cricket ka match abhi bhi adhura hai, use chahiye toh buss apni behen jo abhi keval 8 maheeno ki thi. Use chahiye toh buss wo pyaar jo shayad ab use kabhi nahi mil payega. 

Kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine dekha hai aise hazaro baccho ko apne bachpan ko barf mein dafn karte, maine dekha hai khoon ko tapakne se pehle hi jamte hue, maine dekha hai deewaro par goliyo ke nishaan chhapte. Kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine jannat ko jahnum bante dekha hai, Kya yakeen karoge mujhpar, agar mai kahu ki maine laal barf dekhi hai. Kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine laal barf dekhi hai; kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine tirange ke safed rang ko laal banta dekha hai.

Jab hum yahan apni zindagi mein maujood aadhi adhoori khushiyo mein doobe rehte hain
, kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine apne se aadhi umar ke ladke ko apne hi gharwalo ko barf mein dafn karte dekha hai. Maine dekha hai use cheekhte, chillate, ye puchte hue ki na toh uske ghar walo ke haath mein bandook thi, na hi un

Kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine laal barf dekhi hai; kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine tirange ke safed rang ko laal banta dekha hai. Jab hum yahan apni zindagi mein maujood aadhi adhoori khushiyo mein doobe rehte hain , kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine apne se aadhi umar ke ladke ko apne hi gharwalo ko barf mein dafn karte dekha hai. Maine dekha hai use cheekhte, chillate, ye puchte hue ki na toh uske ghar walo ke haath mein bandook thi, na hi un #RDV19

5 Love

c112d3c6cbdd2cda0160924b1cf8d5d7

Priyanshu Modi

Aur phir wo roya.

Pichle hafte hi naye school jaana shuru kiya tha usne. Govt job thi uske Papa ki isliye aadat thi use naye logo ke saath ghulne Milne ki kyuki kabhi 2 saal mein ek Baar toh kabhi 3 saal mein par uske papa ka transfer hota hi rehta tha. Har dafa naye logo se milkar uske chehre par muskaan ki un beshkeemti lakeero se zyada kuch nahi hota tha par is baar kuch alag tha, Kyuki Patna mein toh nahi par Delhi mein sab use aisi nazro se dekhte the jaise wo kisi aur desh se aaya hai. Chehre ke rang ke upar bhi koi kisika mazaak uda sakta hai ye baat Anmol ko Delhi aakar samajh aayi. Pehle 3 dino mein hi wo apne upar itne mazak jhel chula tha ki ab usne un baato par dhyaan dena hi band kar diya tha. Par har baar kisi cheez par dhyaan na dene ka matlab keval ye nahi hota ki use ab farak nahi padta tha. Wo uske rang ki vajah se aane wali hasi ki awaazein, wo uske naye classmates ke anumaan ki wo kis desh se aaya hai, wo taane aur wo mazaak ki lines ka ek ek alfaaz uske aatmvishwaas ke andar ek aisi khokhli surang banaye ja raha tha jiska antt kaha hoga, iska andaza toh anmol ko bhi nahi tha. 

Apne labo ko chipka kar wo us bheed ke saamne se har dafa nikal toh jaata tha, par uski rooh har pal ye cheekhna chahti thi, ki uske rang se badhkar bhi kayi cheeze hain uske shareer mein. Uske chehre ka rang is baat ka paimana nahi ho sakta ki wo andar se kaisa hai. Wo mazak wo taane sunkar jo wo sharam ke maare majbooran hasne ka naatak kar leta hai na, uska matlab ye nahi hai ki uske dil ko thes nahi pohoch rahi. 

Sacchayi toh ye thi ki use un logo se kayi zyada nafrat khud se hone lagi thi, itni nafrat ki ab us surang ke aakhir mein use roshni dikhna band ho gayi thi. 

Jab aankho mein se aansu bahane ki himmat nahi thi, jab khud se nafrat karne ki laakho vajah thi, jab khwaabo ko paane ki chah mar chuki thi, jab suicide ka khayal uske dimaag mein aata jaata rehta tha

Jab sab dhundhla sa tha, use khud pe gussa aaya aur phir wo roya. Aur phir wo roya.

Pichle hafte hi naye school jaana shuru kiya tha usne. Govt job thi uske Papa ki isliye aadat thi use naye logo ke saath ghulne Milne ki kyuki kabhi 2 saal mein ek Baar toh kabhi 3 saal mein par uske papa ka transfer hota hi rehta tha. Har dafa naye logo se milkar uske chehre par muskaan ki un beshkeemti lakeero se zyada kuch nahi hota tha par is baar kuch alag tha, Kyuki Patna mein toh nahi par Delhi mein sab use aisi nazro se dekhte the jaise wo kisi aur desh se aaya hai. Ch

Aur phir wo roya. Pichle hafte hi naye school jaana shuru kiya tha usne. Govt job thi uske Papa ki isliye aadat thi use naye logo ke saath ghulne Milne ki kyuki kabhi 2 saal mein ek Baar toh kabhi 3 saal mein par uske papa ka transfer hota hi rehta tha. Har dafa naye logo se milkar uske chehre par muskaan ki un beshkeemti lakeero se zyada kuch nahi hota tha par is baar kuch alag tha, Kyuki Patna mein toh nahi par Delhi mein sab use aisi nazro se dekhte the jaise wo kisi aur desh se aaya hai. Ch #RDV19

6 Love

c112d3c6cbdd2cda0160924b1cf8d5d7

Priyanshu Modi

जीत की खबरों को सुनकर मिल रहा सुकून है, फिर चली गोली सरहद पर बह रहा फिर खून है। इस पार हिंदुस्तान तो उस पार पाकिस्तान है, मर रहा इस पार भी उस पार भी इंसान है, गोलियों की गूँज से फिर गूंजा सारा देश है, पर जवानो के ही घर क्यों आज भी सुनसान हैं। #RDV19

जीत की खबरों को सुनकर मिल रहा सुकून है, फिर चली गोली सरहद पर बह रहा फिर खून है। इस पार हिंदुस्तान तो उस पार पाकिस्तान है, मर रहा इस पार भी उस पार भी इंसान है, गोलियों की गूँज से फिर गूंजा सारा देश है, पर जवानो के ही घर क्यों आज भी सुनसान हैं। #RDV19

undefined Views

c112d3c6cbdd2cda0160924b1cf8d5d7

Priyanshu Modi

Kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine laal barf dekhi hai; kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine tirange ke safed rang ko laal banta dekha hai. Jab hum yahan apni zindagi mein maujood aadhi adhoori khushiyo mein doobe rehte hain , kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine apne se aadhi umar ke ladke ko apne hi gharwalo ko barf mein dafn karte dekha hai. Maine dekha hai use cheekhte, chillate, ye puchte hue ki na toh uske ghar walo ke haath mein bandook thi, na hi un #RDV19

Kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine laal barf dekhi hai; kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine tirange ke safed rang ko laal banta dekha hai. Jab hum yahan apni zindagi mein maujood aadhi adhoori khushiyo mein doobe rehte hain , kya yakeen karoge mujhpar agar mai kahu ki maine apne se aadhi umar ke ladke ko apne hi gharwalo ko barf mein dafn karte dekha hai. Maine dekha hai use cheekhte, chillate, ye puchte hue ki na toh uske ghar walo ke haath mein bandook thi, na hi un #RDV19

undefined Views


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile