Nojoto: Largest Storytelling Platform
juhigupta8560
  • 40Stories
  • 3Followers
  • 397Love
    0Views

juhi gupta

I am simple girl who love to see everyone happy. art and nature always attract me.I feel writing is a good way to explain own feelings......

  • Popular
  • Latest
  • Video
c2327f3a053b8a037f04fbabd91b2d50

juhi gupta

#RajasthanDiwas suraj ki tapan se tapti ,
ret bhari hawaon se ghiri ,
aisy h rajasthan ki dharti.
par ek alag hi chamak ,
ek alag hi gaurav se bhari h ye dharti.
jaha ki hawaon me ghuli
virta ki kai kahaniyan h,
iski shano saukat ko dikhati
anginat mahlon ki nishaniyan h.
jaha ki giton me ek alag 
mithas ghuli h ,
jaha ki bhasha me apnapan h,
aisa anokha pyara rajasthan h.

©juhi gupta #gauravsebhari
#rajasthankidharti

#RajasthanDiwas
c2327f3a053b8a037f04fbabd91b2d50

juhi gupta

साहित्य  jiske bina jindgi adhuri si h ,
kalapremiyon ke kala ki nishani si h.
kuch warn milkar akshar bnate 
 kuch akshar milkar sabd bnate h,
To ,kuch sabd milkar wakay bnate h ,
aur kabhi kabhi ye hi humare jivan par 
ek gahri chhap chhod jate h.
jindgi ki gahrai ko smajhne ko,
man ke kuch sawalon ke hal dhundne ko,
sundarta ke sahi arth ko smajhne ko,
kabhi kabhi kuch waqt sahitya ke naam kijiye

©juhi gupta #sahityaaurhum
#kuchwaqtsahityakenaam

#WForWriters
c2327f3a053b8a037f04fbabd91b2d50

juhi gupta

i planned to stay at home and planned to spend whole day with my family.
 unfortunately,this year we are not playing holi ......

©juhi gupta #unfortunately
#colourlessholi
c2327f3a053b8a037f04fbabd91b2d50

juhi gupta

Uska Call Dil ki dhadkane badha deta h
ek muskaan hotho pe le aata h
man khushi se bhar jata h 
jab uska call aata h 
dil kahe baate khatam n ho 
hum u hi ghanto sath rahe 
uski awaj sunu dil kahe mera bas sunti rahu

©juhi gupta #dilkahemerabassuntirahu

#WForWriters
c2327f3a053b8a037f04fbabd91b2d50

juhi gupta

एक साथ  Aao sab holi ke rangon me rang jaye,
duniya ko ek naya sandesh de jayen
har dil ka aaj phasla mita de ,
abir ke sang man ka har dwesh mita de
koi n rahe amir garib ,na koi chhota bda 
har or pyaar ,ekta,apnepan ka rang uda
aaj har unch nich ki diwar gira de 
har bhed bhaw ko humare bich se mita de
aao hum ek sath milkar, har or khushiyan , pyaar phijaon me bhar de.........

©juhi gupta #harorpyaarbharde

#WForWriters
c2327f3a053b8a037f04fbabd91b2d50

juhi gupta

Nojoto Ek manch diya khade hone ko
apni bhawnaon ko sabdo me vyaqt karne ko
ek rasta dikhaya kuch karne ko 
apni ek alag pehchan bnane ko 
ek azadi di apni baat rakhne ki 
dil ke har ehsaas ko bya karne ki
laya h mere liye ek jariya 
bnane nojoto ke dil me ek ghar badhiya......

©juhi gupta #shukriyanojoto

#WForWriters
c2327f3a053b8a037f04fbabd91b2d50

juhi gupta

#TheatreDay The day to celebrate journey of actors
The day to remember struggles of actors
The day to remember that day 
when actors were not only work in theatre but also they were live  own character....

©juhi gupta #journeyofactors

#theatreday
c2327f3a053b8a037f04fbabd91b2d50

juhi gupta

इरादा  kuch bhi namumkin nahi is jaha me,
agar ho haushala tumhaare dil me .
har muskil chhoti najar aayegi ,
har raste asaan ban jayenge .
tum chaho to har diwar gira sakte ho,
hai sagar kitna gahra ye bhi maap sakte ho.
parwaton ki unchai u hi chu doge tum ,
ho agar irada gahra, har safalta ko u hi pa loge tum..........

©juhi gupta #hoagariradagahra

#WForWriters
c2327f3a053b8a037f04fbabd91b2d50

juhi gupta

दरवाज़ा Har sima,har ghar ka pahredar ,
jo karta hamari suraksha din ho ya raat .
kabhi ye suraksha dete h to kabhi ek diwar ban jate h,
kabhi jarurat to kabhi musibat ban jate h.
kuch darwajen dilon me duriyan bdhate h
jo khule to kai dilo ke taar phir se jod deti h
kabhi band darwaje kai raaj chupaye rahti h,
kabhi khudke undar kai undekhe jajbaat chupaye rahti h.
darwaja khula ho to log undar jhakne ki kosis karte h,
jo band ho to logon ke man me sawal khadi karti h.......

©juhi gupta #Darwaja 
#darwajekijimmedari

#WForWriters
c2327f3a053b8a037f04fbabd91b2d50

juhi gupta

सितारा aasman ko saja rha 
chand ke sang jhilmila rha 
aankho ko kitna bha rha 
dil ko bhi lubha rha 
sochu sitaron si chamku
bhid me ek pechaan bna lu
aasman ka sitara 
hai bahut hi nyara 
par dil mera ye kahe
banu mai usse bhi pyara

©juhi gupta #asamanjasitara

#WForWriters
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile