Nojoto: Largest Storytelling Platform
harrisahmed3449
  • 136Stories
  • 5Followers
  • 0Love
    0Views

Harris Ahmed.

" A person who believes in reality and also love to recreate imaginations" always remember a walk taken alone is the strongest walk ever.

https://www.yourquote.in/harrisahmed

  • Popular
  • Latest
  • Video
ce24feddbcf16fe58964538235b7c3ed

Harris Ahmed.

Naa teri hai na meri hai ye duniya.
Munafiqon ki hai , sacchon ki nahi hai ye duniya.

Bachpan mein abbu ke kandhon par baithkar.
Jaisi Nazar aati thi waisi nahi ye duniya.

Hazaron rang hai isme , rangilon ka hai gehwara.
Safed ko kafan samjhti hai , sadon ki nahi ye duniya.

Maksad hai aakhirat , wahi to hakeekat hai.
Kafir ke liye jannat hai , momin ki nahi ye duniya.



     #sad #broken
ce24feddbcf16fe58964538235b7c3ed

Harris Ahmed.

Ye meri bad-dua to nahi , haan magar shikayat hai khuda se.
Ke tumhe bhi maloom ho ke gum-e-dil kya hai.

Takleef bhi dete hain , hamein apna bhi kehte hain zuban se.
Falan  tum samjho ki munafiqat kya hai. #sad #poetry

#SAD poetry

ce24feddbcf16fe58964538235b7c3ed

Harris Ahmed.

Ye bhi accha hai, ke ye sirf khamoshi se sehta hai,
Dil ki agar awaz hoti to Qayamat hui hoti.

Har koi chup-chap ladd raha hai apni jung yahan.
Ahmed! har khamoshi anaa nahi hoti. #shayari #Harris

shayari #Harris

ce24feddbcf16fe58964538235b7c3ed

Harris Ahmed.

Sukoon tabah karne ke liye , pareshaniyan kya kam thi?!
Kambakht ham oopar se dostiyan kar baithe. #friendship #shayari #oneliner
ce24feddbcf16fe58964538235b7c3ed

Harris Ahmed.

Ro paate ham bhi to shayad karaar aata iss dil ko.
Jo aansoon daman par nahi girte , wo dil ko cheer jaate hain. #sad
ce24feddbcf16fe58964538235b7c3ed

Harris Ahmed.

Mere apne bhi apne raah ka kata samajhte hai mujhe.
Mujhe laga tha ki wo samajhte hain mujhe. #lonely #death
ce24feddbcf16fe58964538235b7c3ed

Harris Ahmed.

Ek samandar hai jo kaabu mein hai mere.
Aur ek katra hai jo sambhala nahi jaata.

Ek zindagi hai jo guzarni hai mujhe.
Aur ek lamha hai jo guzara nahi jaata. #sad #broken
ce24feddbcf16fe58964538235b7c3ed

Harris Ahmed.

Aate aate wo deewana laga mujhe.
Jo apna tha wo shaks begana laga mujhe.

Sirf ehsas se bhanp lete the ham jiski maujoodgi .
Aaj kal wo chehra anjana laga mujhe .

Ye jo kahte ho ki purana laga mujhe.
Iss makan ko banane me zamana laga mujhe.

Ek waqt tha jabb log baste the yahan.
Abb wo ghar bada  virana laga mujhe .

Bahot dukha hai dil , tabhi to toot raha hai.
Warna wo rishta bahot suhana laga mujhe. #lonliness #sad
ce24feddbcf16fe58964538235b7c3ed

Harris Ahmed.

Aksar deewaron se , ye ghar poochta hai,
Log to baste hain, rishton ka pata poochta hai.

Aksar toot jaati hai himmat meri,
Manzil ke baare mein jabb Safar poochta hai.

Iss meyar se rishtey ki gehrai naaplo ,
Harkoi meri khabar usey poochta hai.

Haal mera jaisa bhi ho lekin ,
Theek hi kehta hoon jabb koi poochta hai. #shayari #poetry

shayari poetry

ce24feddbcf16fe58964538235b7c3ed

Harris Ahmed.

Kyoon tumhe marna aasan lagta hai Ahmed?!
Kya kabr , hashr , hisaab kitaab mazaak hai! #death #sadness #loneliness
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile