Nojoto: Largest Storytelling Platform
silentheart3961
  • 41Stories
  • 0Followers
  • 516Love
    339Views

Gargi Banerjee

A philomath

  • Popular
  • Latest
  • Video
d480d8eb57bf1ef78579f02abb168a21

Gargi Banerjee

White Ja aajse tujhko khud se juda kiya humne,
Na ab tera zikr hoga meri ghazalon ya mehfilon mein...
Na talash karega yeh dil ab tujhko teri hi parchayi mein,
Na ubharegi ab se yeh sooraj ki kirnein meri duniya mein.

Mere alfaaz ab teri haqiqat ko nahi chhedenge,
Na us chaand se ab tere soorat ka muqabla hoga.
Na kaatungi ab raat teri yaadon ko sine se laga kar,
Na dhoondungi apne aap ko teri un gehri nigaahon mein...

Chal, ab teri har baat ko qubool karti hoon.
Azad karti hoon tujhe, mere har ek bandhan se,
Be-qaid karti hoon apne is ek tarfa junoon se.

Na wapas aaungi ab, chahe tu talash bhi kare toh,
Na meri barbaadi ka sabab tera zikr hoga,
Na mere janaze mein tera shaamil hona manzoor hoga.
Jab meri mojudgi na-qabil-e-fikr thi teri zindagi mein,
Toh meri ghair-mojudgi bhi tujhe zyada mutasir nahi karegi.

Aisa nahi ki hazar gila-shikwa liye ja rahi hoon,
Magar haan, ek sawal har pal dil ko chubhta rahega:
Kya main kabhi kaafi sabit nahi ho saki tere liye?

©Gargi Banerjee #GoodMorning #viral #Trending
d480d8eb57bf1ef78579f02abb168a21

Gargi Banerjee

Staring out from the window of an unknown city, in a land that feels foreign, whispers of the past still echo. The voices, their words, the promises—they linger like ghosts in the corners of my mind. I long to answer, yet the silence is heavy, locked inside. My heart, a stone, caught in my throat. How do I share this ache, over and over, with those who have already tired of its weight?

I see us—once hand in hand, promising to meet every turn in life together. Those late-night walks, the unplanned escapes, the streets we dreamed of wandering. Now that you’re gone, where do I place these dreams? A hollow wraps around me, a shadow I cannot shake.















I sit by the window, watching silhouettes rise and fall—some familiar, some strangers—drifting like smoke in the memory of you.

They ask how I am, tell me to find joy in what remains, that there’s more to life than this. But I live in the life we imagined—alone. I’ve gained the world, but what is it worth?

It was always you—my beginning, my end. Now, I walk those unknown streets, haunted by the shadows of what once was, knowing nothing will ever be the same. The air feels thicker, every step heavier, as if the past clings to my very skin. I search the faces of strangers, hoping for a glimpse of you in the crowd, a familiar echo in the noise.

As they say- loving is short, but forgetting is long. I once believed love could fill every empty space, that time would heal every wound. But now I see—some voids grow with time, and some wounds never close. The weight of absence becomes part of you, and in chasing the past, I’ve forgotten how to live in the present.

©Gargi Banerjee #viral 
#Highlights 
#followers
d480d8eb57bf1ef78579f02abb168a21

Gargi Banerjee

White 
Mujhe nahi bachi chahat koi apna kahe mujhe,  
Apna kar bhi har dafaa wo mere dil se khel jaaya karte hain.  

Kise reh gayi hai samajh ek doosre ke jazbaton ki,  
Sab zarooraton ke hisaab se mohabbat sikhaaya karte hain.  

Ishq bas ab haftay bhar ki kahani ban kar reh gaya,  
Zamaane mein log ab kahan wafa nibhaya karte hain.  

Wo daur alag tha, wo din bhi niraale the jab hum waqayi qareeb the,  
Ab toh sirf khud ko behlaaya karte hain.  

Jo raqeeb hote the pehle, ab wo humdard ban gaye hain,  
Aur jo apne the, wo anjaan ki tarah guzra karte hain.  

Na wo baatein rahi, na kasmein waadon ka asar,  
Ab log sirf khaali alfaaz ka khel khela karte hain.

©Gargi Banerjee #alone_sad_shayri
d480d8eb57bf1ef78579f02abb168a21

Gargi Banerjee

White It's 2 a.m., and once again, I'm here, writing in the soft, muted glow of my phone screen. 
I'm lost in a certain genre of music, one that I'll keep unnamed as if keeping it secret might somehow shield me from the thoughts that keep me up at night.
The darkness outside mirrors the void within me, a void that has grown wider and more consuming with each passing day. It's as though every moment that goes by adds another layer of something I can’t quite put into words—a kind of void that keeps expanding inside me. 
They say time heals all wounds, but what if time is the wound itself, slowly etching away at me, carving out pieces of who I am until there's nothing recognizable left? 
Yet, despite it all, we carry on, don’t we? We stand tall because that’s what’s expected of us—we put on this façade of being unbreakable, hoping that if we pretend long enough, maybe, just maybe, it’ll become our reality.

©Gargi Banerjee #viral #highlights
d480d8eb57bf1ef78579f02abb168a21

Gargi Banerjee

White Ek umr guzar gayi kuch armaan sambhalte huye,
Kuch khayalon ko,kuch logon ko apna banate huye,
Aakhir mein haasil huwa kya?
Jab bhi apni soch ko us aks mein milana chaha,
Har dafa usme chehra paraya hi nazar aaya....

Aankhon mein jab khud ki tasveer talash ki,
Toh door tak kisi aur ki he parchayi banti dekhi..
Har mulaqat mein bas khamoshi thi,
Aur har nigaah ne uski,meri mohabbat ko nazarandaz kiya.

Kuch baatein kehna mushkil hai,
Isliye shayad kehkar bhi chup rahi...
Haan, kuch dard chupane mein asar hai,
Jab wo apni chahat ki baat karta hai,
Aur main bas yeh khayal apne andar dabaye rehti hoon.


Har lamha jo baatein uski zubaan se suni thi,
Wo bas ek khushbu ki tarah hawa mein kho gayi.
Kaash koi hota jo dil se yeh kehta,
Ke tum jaisi ho, wahi ho bas meri...

Magar har sapna sapna hi raha,
Raste apne rang mein dhal gaye.
Usne bhi odh liya rang-e-zamana,
Jisko humne zamane se judaa paya tha...

Aksar khud se yeh sawaal karti hoon ki aakhir meri khata kya thi?
Kya yeh ki maine usse beinteha mohabbat ki?
Ya phir yeh ki maine socha ke pyaar se mila zakhm
 Sirf pyaar se he bhar sakta hai?

Ajeeb sa khalipan hai,
Na aage manzil hai, na peeche koi nishaan...

Ab bas itna ho k mere yeh kashmakash khatam ho,
Yeh silsila jo chal raha tha woh ek anjaam tak pahuche.
Yeh takleef ab khatam ho,
Yeh dil thak chuka hai,
Ab isse bhi thoda sukoon naseeb ho.

©Gargi Banerjee #sad_shayari #Trending
d480d8eb57bf1ef78579f02abb168a21

Gargi Banerjee

White  Mohabbat se yaadon k nishaan mitati rahi raat bhar,
Nishaan par jalti huwi shama bujhati rahi raat bhar..

Jin aansuon ko aankhein judaa na kar saki,
Syaahi bankar kagaaz par behti rahi raat bhar...

Ek muddat baad ghar ko nikla tha raahi,
Sadke unhi raaston par bhatkati rahi use raat bhar...

Jasbaaton ki numaish aur zakhmon ka bazaar,
Lafzon ki dukaan par khariddar ulajhati rahi raat bhar,

Har ek chaand ko raat mukkammal nahi yaahan,
Khubsurat mehfilon mein tanhaayi sajti rahi raat bhar...

Aur ek zamaana tha jab yeh sher-o-shayari ki duniya,
 Apna liya karti thi mujhe,
Khali kagaaz ko kahaani sunati rehe gayi raat bhar...

©Gargi Banerjee #goodnightimages 
#viral 
#Trending 
#sheroshayari
d480d8eb57bf1ef78579f02abb168a21

Gargi Banerjee

Lafzon ki bojh se thak jaati hai zabaan,
Pata nahi khamoshi majboori hai ya tanhaai...

Zara ye dhup dhal jaaye toh haal puchenge,
Yahaan kuch saaye khud ko khuda bataatein hai...

Khadkate rehna ehsaason k darwaaze,
Mulakaatein na sahi,aahatein toh zinda rahengi....

Hasratein aaj bhi khat likhti hai humein,
Magar ab hum puraane pate par rehte nahi...

Saath saath ghumte hai hum raaton ko ajkal,
Log hume awaara aur use chaand kehte hai...

©Gargi Banerjee #MoonShayari
d480d8eb57bf1ef78579f02abb168a21

Gargi Banerjee

Lafzon ki bojh se thak jaati hai zabaan,
Pata nahi khamoshi majboori hai ya tanhai...

Zara ye dhoop dhal jaaye toh haal puchenge,
Yahaan kuch saaye khud ko khuda batatein hai...

Khadkate rehna ehsaason k darwaaze,
Mulakaatein na sahi,aahatein toh zinda rahengi....

Hasratein aaj bhi khat likhti hai humein,
Magar ab hum puraane pate par nahi rehte...

Saath saath ghumte hai hum dono raaton ko ajkal,
Log hume awaara aur use chaand kehte hai...

©Gargi Banerjee #Glazing #trend #sheroshayri #viral #Life
d480d8eb57bf1ef78579f02abb168a21

Gargi Banerjee

Faasle is kadar hai aajkal k rishton mein,
Rahon pe mil bhi jaaye toh anjaan samajh kar guzar jaatein hai...

Apna bana kar kuch dino mein begana kar gaya,
Hum thode khafaa kya huwe,ye zamaana bewafaa ho gaya...

Jab dil gairon se lagg jaye,
Toh apno mein kamiyaan nazar aane he lagti hai...

Mere khamoshi se use fark nahi padha Ghalib,
Shikayat k do lafz kehe diye toh chubh gaya...

Afsos toh bahaut hai kisike badal jaane ka,
Magar beshak kuch baatein uski humein jeena sikha k gayi....

Aaj rahon pe ek anjaan shaks mila
Par wo pehla tha jiske har harkaton se mai waakif thi...

Guroor is baat ka nahi ki tumhari zarurat nahi,
Fakra is baat ka hai ki tumhare bina bhi,
Ye zindagi savar rahi hai meri...

©Gargi Banerjee #Grayscale
d480d8eb57bf1ef78579f02abb168a21

Gargi Banerjee

Har saal ki tarah ye saal bhi kuch ajeeb sa nikla,
Kuch sapne le gaya,kuch apne le gaya.
 
Kabhi jeene ki ummeed di,toh kabhi marne ka tamannah de gaya.
Kabhi khush rehna sikhaya,kabhi gham mein jeena sikha k gaya.

Kuch apne paraye ho gaye,kuch parayo ko isne gale lagana sikhaya,
Kabhi andheron mein roshni dikhai,
Toh kabhi ujale ki ummeed tak rakhna na gawara kar diya.....

Kabhi beech raho mein musafiron se isne milaya,
Kabhi akeli si raaton mein bas yunhi tanha chor diya...

Kuch haath laga,kuch chooth gaya,
Koi maan gaya,koi rooth gaya...
Kabhi kisiki yaadein laaya,kabhi saara ateet bhoola gaya...
Ye saal bhi aakhir beet gaya,
Ye saal bhi aakhir beet gaya.....

©Gargi Banerjee #sunrisesunset
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile