Nojoto: Largest Storytelling Platform

ye jo do kitabe h library me kabhi padhta tha inhe

ye jo do kitabe h library me
kabhi padhta tha inhe har koi
ghiri rehti thi saari desks par ab ni koi 
murjha gayi h donk kitab
ye library ek soona gulshan jese
yaha k murjha gaye gulab
yad h mujhe ,abhi bejaan h
kabhi badi natkhat thi kitabe
meri zindgi me chashni gholti thi
kabhi darpan thi kitabe
ab zindgi me koi rang nhi
labhi zindgi ka darpan thi kitabe
kabhi acha khasa kafila hua karta tha
zindagi k hadso me sari kho gayi kitabe
ab bs is library me ek me 
or bachi h do kitaabe
bhot khamosh ye kitaabe
inhe nafrat se dekhna b azaab h
ajkal koi aata jata nhi library me 
h badi ghamgeen ye kitabe
alfaz bilakhte h,ankho me aansu namkeen rakhe kitabe
ye library me qaid h kabse,suno qais karo kuch esa
k azaad ho jaaye ye kitaabe
muddat kisi ne padha nhi inhe
dikhao esa kamal k mashoor ho jaye ye kitabe
inhe padhkar logo ko mohbat hua karti thi
kitaabe girti thi,nazre milti thi,
kitna dilkash manzar hua karta tha
har tarf ishq ka samndar hua karta tha
chalte they hum sath ,aath chalti thai kitabe
haaye kitna haseen manzar hua karta tha
ab to har pal aankhe bhigoti kitaabe
dukh ka karan pucho to bilakh k roti h kitabe
ese to akele inka dum ghutega 
itni hasrato se rahe takti h jese koi lotega
suno qais inhe inki zindgi tumhe lotani h
apko ishq me pirho kar muskan me badalna h
jo inki aankho ka pani h
ye h aaj se humdam aapki
or library ki raani h,
inke jo alfaaz goonge h abhi
aapko unpar kahani banani h
inki khamoshiyo ka kissa aapko kehna zubaani h

©qais majaz library me rakhi do kitaabe

#vacation