Nojoto: Largest Storytelling Platform

WAQT NHI!? Har khawaish h logo ke daman me, Par e

WAQT NHI!?

Har khawaish h logo ke daman me,
Par ek hansi ke liye waqt nhi !

Is din raat daudti duniya me
 zindagi jeene ke liye waqt nhi

Chaaro taraf kamyabi ka shor to h,
Par khudki shabashi ke liye waqt nhi !

Maa ke us pyaar ka ehsaas to h,
Par unke jazbaat padhne ka waqt nhi!

Pita ke har us seekh se aitbaar to h,
Par unke halat samajhne ka waqt nhi!

Rishte to apne huzum me hum maar chuke,
Par uska shok mnane ka waqt nhi!

Dosti ke naam pr bade bade vade kr jate h,
Par un vaadon ko muqammal krne ka waqt nhi!

Dil me hazaaro gamo ka basera h,
Par khulkar ek baar sajha krne ka waqt nhi!

Aankho me itne sapne lekar chl rhe,
Ki chain se ek dafa sone ka waqt nhi!

Paraye kahaniyo ki kya kadar kare,
Jab apne afsaane likhne ka hi waqt nhi!

Na jane kab is waqt ke khel ne is tarah ghuma diya,
Sab haasil krne ki zidd me yhan khudko hi kahi luta liya!!

#Kajal_Bhardwaj #Waqt nhi!?
WAQT NHI!?

Har khawaish h logo ke daman me,
Par ek hansi ke liye waqt nhi !

Is din raat daudti duniya me
 zindagi jeene ke liye waqt nhi

Chaaro taraf kamyabi ka shor to h,
Par khudki shabashi ke liye waqt nhi !

Maa ke us pyaar ka ehsaas to h,
Par unke jazbaat padhne ka waqt nhi!

Pita ke har us seekh se aitbaar to h,
Par unke halat samajhne ka waqt nhi!

Rishte to apne huzum me hum maar chuke,
Par uska shok mnane ka waqt nhi!

Dosti ke naam pr bade bade vade kr jate h,
Par un vaadon ko muqammal krne ka waqt nhi!

Dil me hazaaro gamo ka basera h,
Par khulkar ek baar sajha krne ka waqt nhi!

Aankho me itne sapne lekar chl rhe,
Ki chain se ek dafa sone ka waqt nhi!

Paraye kahaniyo ki kya kadar kare,
Jab apne afsaane likhne ka hi waqt nhi!

Na jane kab is waqt ke khel ne is tarah ghuma diya,
Sab haasil krne ki zidd me yhan khudko hi kahi luta liya!!

#Kajal_Bhardwaj #Waqt nhi!?