Nojoto: Largest Storytelling Platform

Best Kajal_Bhardwaj Shayari, Status, Quotes, Stories

Find the Best Kajal_Bhardwaj Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about

  • 1 Followers
  • 5 Stories

Kajal Bhardwaj

#Waqt ko badalte hue dekha h! #Kajal_Bhardwaj

read more
Waqt ko badalte hue dekha h!!

Maine savere se alfaazon to raat sa sannata bante dekha h,
Haan maine waqt ko badalte hue dekha h!

Maine aalishan ashiyano ko ret ka khandar bante dekha h,
Haan maine waqt ko badalte hue dekha h!

Maine sbse azeez logo ko ajnabee bante dekha h 
Haan maine waqt ko badalte hue dekha h 

Maine ahem rishton ko daulat ke tarajoo me taulte dekha h 
Haan maine waqt ko badalte hue dekha h !

Maine paiso ke khel me kitno ko imaan bikate dekha h,
Haan maine waqt ko badlte hue dekha h!

Maine Badi saakh rakhne walo ko pal me raakh hote dekha h,
Haan maine waqt ko badate hue dekha h!

Maine mohabbat shabd ko bss jism par simatte dekha h,
Haan maine waqt ko badalte hue dekha h!

Maine nisvaarth dosti ko keval matlab sa nibhaate dekha h 
Haan maine waqt ko badalte hue dekha h

Jiska haath tham chalna seekha use thokar marte dekha h,
Haan maine waqt ko badalte hue dekha h!

Maine apne aap ko is waqt me kayi baar bikharte dekha h,
Maine is chote se waqt me bohot kuch badalte dekha h!!


#Kajal_Bhardwaj #Waqt ko badalte hue dekha h!

Kajal Bhardwaj

#Waqt nhi!? #Kajal_Bhardwaj

read more
WAQT NHI!?

Har khawaish h logo ke daman me,
Par ek hansi ke liye waqt nhi !

Is din raat daudti duniya me
 zindagi jeene ke liye waqt nhi

Chaaro taraf kamyabi ka shor to h,
Par khudki shabashi ke liye waqt nhi !

Maa ke us pyaar ka ehsaas to h,
Par unke jazbaat padhne ka waqt nhi!

Pita ke har us seekh se aitbaar to h,
Par unke halat samajhne ka waqt nhi!

Rishte to apne huzum me hum maar chuke,
Par uska shok mnane ka waqt nhi!

Dosti ke naam pr bade bade vade kr jate h,
Par un vaadon ko muqammal krne ka waqt nhi!

Dil me hazaaro gamo ka basera h,
Par khulkar ek baar sajha krne ka waqt nhi!

Aankho me itne sapne lekar chl rhe,
Ki chain se ek dafa sone ka waqt nhi!

Paraye kahaniyo ki kya kadar kare,
Jab apne afsaane likhne ka hi waqt nhi!

Na jane kab is waqt ke khel ne is tarah ghuma diya,
Sab haasil krne ki zidd me yhan khudko hi kahi luta liya!!

#Kajal_Bhardwaj #Waqt nhi!?

Kajal Bhardwaj

Zmaane ke is daud se zra peeche aa jate h,
Yu jo ruthe hue jazbaat h aaj use mnate h,

Shikayat h ki khud ke liye waqt nhi milta yaaro,

Chlo aaj sabko pare rakh khudki uljhane suljhate h!!



#Kajal_Bhardwaj #Self
#spark

Kajal Bhardwaj

Zindgi ke har pehlu pr jisne koi path padhaya h,
Har baar chot khane pr jisne sbse phle uthya h,
Akele andhero me jisne har pal saath nibhaya h,
Kashmkash ke daud se jisne sanjidgi se bachaya h,
Haar kar bhi nhi tutna jisne har dafa sikhaya h,
"Daro mat, kisi se kam nhi" jisne har baar btaya h!

Jo aaj ho use tarashne me tum khud bhi ho wajay
Aaj ke din khud ko bhi '

HAPPY TEACHER'S DAY"


#Kajal_Bhardwaj #HappyTeachersday 

#teachersday2020

Kajal Bhardwaj

Jab guzarishe humse thi to shikayate khi aur kyu,
Jab yaariyan humse thi to dikhawate khi aur kyu.
Yu jo tum humse khafa hokar dusro ko haal sunati ho,
Galatfehmi ke karan dosti ki sharte tod jati ho.

Ye zidd ki diwaar us dosti ke aade is trah aai,
Jise mai sharab sa nasha smjhi tum khara pani ban dikhai!!!

#Dosti??

#Kajal_Bhardwaj #Dosti??

Kajal Bhardwaj

🌈♥️



Ishq tumhara muqammal aur uski adhuri kyu reh jati h,
Tumhari chahat sahi aur uski dastaan befazool kyu kehlati h.
Tum ishq me fanaah ho to afsana bann jata h,
Wo pyaar kahe to zamana kabool nhi kar pata h.
Mohabbat me jaan to wo bhi vaar sakta h,
Fark bss itna h ki wo ldka hokar ldke pr marta hu!!

#Kajal_Bhardwaj #Love#Lgbt


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile