Dur ek shehar se jab koi bhadakta Badal, meri jalte huye dil Ki taraf ayega, kitni siddhat se use dekhegi ye pyasi ankhe aur Vo vakt Ki tarah guzar jayega.. firse ye dil tanha sa ho jayega... kitni betab thi ye ankhe Jo is dil KO bheega sake Vo barsat kaha un badalo me... na Jane kab Vo Badal firse ayenge na Jane kab Vo barsat hogi..... kitni siddhat se bichaye rakha tha ye dil in baharo me.. kitni berukhi Si thi is dil me...ise jaroorat hai us barish Ki bundo ki. Jo is dil halka sa karde..is dil KO thodi aur mohlat dede... firse vahi pe bikhri hai ye ankhe us barish Ki raah me... ab to na ruk sake ye halat na ruk sake ye vakt aur nahi ruk sake ye betab dil Jo har pal Teri hi baate sunne KO betab hai... jo har vakt Teri aahat ko mehsoos karne KO betab hai ..