Nojoto: Largest Storytelling Platform

Shab k andheron ko seher tak jalakar likha, Lafz b

Shab k andheron ko seher tak jalakar likha,
Lafz bikhar gaye toh khamoshi sajaa kar likha..

Khayalon k badal toh ghume phirte rahe tufano mein,
Theher jaane ki khatir gham ko barsaakar likha...

Nasha sirf jaam mein hai, yeh ghalat fehmi hai tumhari,
Dard ko khubsoorti k nashe mein humne dubakaar likha..

Vaadon k mehel behe gaye bemausam barsaton mein,
Ummeed ka adhoora alfaaz zamana aazmakar  likha...

Khat padhe rahein kone mein jab likha unhe jazbaaton se,
Samajhdaaron k khaatir alfazo se unhe sajaakar likha....

Aur kab tak samete rakhti yeh zakhmi kalaiyi,himmat ko?
Zakhmon se behte khoon ko syaahi banakar likha...

©Gargi Banerjee #Shayari 
#ishq 
#trending  
#viral