Nojoto: Largest Storytelling Platform

khud ki khushiyaan khud likhi jaa sakti hai, apney

khud ki khushiyaan khud likhi jaa sakti hai,
apney gamon ko khud se mitayi jaa sakti hai, 
kahan miltey hai nibhaney waley, 
har Khwab khud sajayi jaa sakti hai, 
khud main himmat ho toh , 
tufano ko bhi has kar tali jaa sakti hai, 
ye zindagi apki hai, 
Issey khubsurat khud se bnayi jaa sakti hai, 
koi puchey khush ho, 
kabhi mat boliye ki nahi, 
boliye haan, 
ye zindagi hai muskura kar hi kati jaa sakti hai, 
ye zindagi keemti hai, 
yahan khusiyaan gam dono bati jaa sakti hai 
magar ab kahan koi sath hota hai, 
ye zindagi ki reet hai, 
zindagi mai khud udna sikho, 
kyunki yahan sab par katney baithey hai, 
magar hosla itna buland rakho ki, 
chahye kitni bhi pareshaniyaan ho, 
par katney mat dena, 
roo kar bhi apni manzil ko hasil ki jaa sakti hai

©shama pharheen #nojoto#titliyan#uddan#life#poem#motivation#quotes#writer#zindagi#trendingpost