बचपन और रूठना bachpan me mai aksr hi apno se ruth jaya krti thi , kabhi maa se to kabhi papa se , kabhi didi se to kabhi chhoti behana se , aur mudda bhi aksr vhi hota tha , jo soch ab mai khud hi muskurati hun, mai aksr chidh jati thi, jab sb kehte the tum to raste me padi mili thi , tbi sb mummy papa ko didi aur chhoti ke nam se bulate hai , koi ni kehta sona ki mummy ya papa, kitna gussa krti thi mai , chup chap bistr me aundhe muh gir kr fafak fafak kr roti thi , bachpan tha , kisko itni smjh thi , hm ruthte bi khud the aur maan bhi jaya krte the , tb jindgi bi bhut sachi aur suljhi thi. bachpan aur ruthna