jane kya soch hai jamane ki , khud ke ghar ki beti ki ijjat , ijjat, r padosh ki beti maal hui, jab ji chaha, socha na smjha , jhooti afwah uda diya, jab ji chaha uske charitra pr lanchhan lga diya, sochte ni kya bitegi us ladki par, sare jag ke samne jiske daman me, jhoota kalan lga diya, kyun mil jati hai maafi unhe, jisne sita ka apman kiya, pavitra thi jo naari, phr jane kyu usko vanvas diya, abi ki ye bat ni sadiyon se ye kuriti chalti aayi hai, khud ki najron me sarm ni, pr v chote kpde phne to burai hai, jane q aurat pr dhaunsh jamane ko v apni shaan smjhta hai, nari ko nari ni jane q khilauna smjhta hai, jab tak chaha khel liya, phr gudiya smjh todkr fek deta hai, khushnashib ho tum jo naari abbi khamosh hai, nari ne tujhko janam diya, nari hi vansh badhati hai, jis ghar me tum rhte ho , us ghar ko swarg bnati hai nari ka samman kro, nari hi jag ki jivandatri hai.