Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kaash insaan me insaan zinda hota, Aman ka ek par

Kaash insaan me insaan zinda hota, 
Aman ka ek parinda Aasmaan me hota, 
Hawa me barood ka gubaar na hota, 
Mitti ka rang lahu se laal na hota. 

Kaash hota yun ke sab theek hota, 
Bhook lagti kisi ko uske pass niwala bhi hota. 
Rehti har maa ke seene lagke uski aulaad, 
Kaash koi baccha jung me yateem na hota.








Kaash ke hote na buzdil mai aur tum, 
To koi masoon apna ghar na khota. 
Khaade hote agar ek awaaz zulm ke mukhalif, 
Zalim ke hosla itna mazboot na hota. 

Kaash na ijaad hote bandooke barood, 
To aaj ye laasho ka sailaab na hota. 
Na hote Daulat ke bhooke tanashah, 
Zulm aur dard ka bazaar na hota.

©irslan khan
  #FreePalestine #Palestine #stopwar #Nojoto #Poetry #Quotes #Shayari #HUmanity  #ChildrensDay #children  Masood_Khan khubsurat Aawesh Khan Vaseem Qureshi Aiz malik0